Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadOsmania university mein digital India programme ke tehat Wifi

Osmania university mein digital India programme ke tehat Wifi

Hyderabad:Digital India project ke tehat Hindustan bhar mein muntakhib kiye jaaney wali universities mein Osmania university bhi shaamil hai jis se Hyderabad k ek qadeem aur tareekhi university Osmania university ko wizarat electronics aur information technology ki janib se 15 crore rupiye maliyati cyber fawaed haasil hogaye jis mein university ke campus mein Wifi  ki sahuliyaat dastyab ho gayeen hain.

Tafseelaat ke mutabiq Digital India project ke tehat Osmania university mein 15 Crore rupay ke cyber infrastructure ko farogh diya gaya hai jis mein campus ke 1379 maqamat par hotspots qaim kiye jayen jis mein administrative, academic aur deegar maqamat par Asri sahuliyaat dastyab hongi. is sahoolat se asateza, talba, scholars aur campus mein mojood rehne walay 12 hazaar afraad ko faida hoga .

Wifi , Hotspots ki wajah se Osmania university ka tamam campus” kahin se bhi marboot hojaye“ ki tarz par kaam karega. Digital India programs ki doosri saalgirah par wizarat electronics and information technology Law affairs ke wazeer Ravi Shankar prasad ney Osmania university mein digital infrastructure ka iftitah kya jis ke baad Osmania university mein ab Wifi   sahuliyaat dastyab hogayi hain . –YTN STAFF