Saturday, April 19, 2025
HomeHyderabadOsmania University ke Degree imtehanaat June mein honge, Itwaar ko bhi parcha...

Osmania University ke Degree imtehanaat June mein honge, Itwaar ko bhi parcha honay ka imkaan

Hyderabad: Osmania University June ke dosray haftay mein Under Graduate ( UG ) imtehanaat lainay ka iradah rakhti hai. Is baray mein aalamia University ki imthehaan shaakh ke zareya 2 ya 3 din mein jari kar di jayegi. June ke dosray haftay mein shuru honay walay Degree imtehanaat July ke aakhir tak jari rahenge. Univeristy intizamia Post Graduate Program ke imtehanaat ki tarikhoun par bhi kaam kar rahi hai aur un ka July ke dosray haftay mein aaghaz honay ka imkaan hai.

Chunkay wabai amraaz corona ki wajah se peda honay walay Lockdown ki wajah se mutadid daftari din zaya ho chukay hain lehaza imkaan hai ke itwaar ke roz bhi University ke imtehanaat honge. Taham is schedule ka dar-o-madar coronavirus phelnay ke pesh e nazar Lockdown ke baray mein hukoomat ke faislay par hoga. Osmania University ke shoba imtehanaat ke Controller Dr Sareer Venktesh ne kaha hai ke June ke dosray haftay mein Under Graduate talba ke liye Mean aur Backlog imtehanaat ki mansoobah bandi ki jarahi hai. Jab UG ke imtehanaat mukammal honge to PG ke imtehanaat July mein shuru honge. Hum 2 ya 3 din mein Degree imtehanaat ke liye aalamia jari kar rahay hain.

Unhoun ne kaha ke University kayi saal se imtehanaat mein jismani doori barqarar rakhay huve hai. Hum imtehanaat ke douran talba ke darmain pehlay hi ek meter jismani faasla barqarar rakhay huve hain. Agar zaroorat pesh aaye to hum marakaz ki tadaad mein izafah karenge aur is baat ko yakeeni banayenge ke imthehaan Halls mein mazeed jismani faasla badhaya jayega.

Darin asna University ne Post Graduate Program ke liye mausam garma ki tatilat mein izafay ka elaan kiya hai. Talba ko ab 11 May se 7 June tak tateel hogi. tatilat ka itlaq PG programs jaisay MA, MSC, M.Com aur deegar program waghera par hoga. –YTN STAFF