Monday, May 20, 2024
HomeSliderOsmania Hospital ki imarat Heritage hai ya nahi wazahat ki jaye :...

Osmania Hospital ki imarat Heritage hai ya nahi wazahat ki jaye : Telangana High Court

Hyderabad: Hyderabad High Court ne shehar Hyderabad ke Osmania Hospital ki nai imarat ki taamer aur qadeem imarat ke inhedam ke silsila mein daakhil kardah mafaad aama ki aarzion ki samaat ki. Is mauqa par adalat ne kaha ke hospital ki qadeem imarat ke inhedam ke masla par mutafarraq raye payi jati hai. Adalat ne kaha kay baaz afraad ki ye raye hai ke is hospital ki qadeem imarat ko munhadim kiya jaye tu baaz afraad ka ye khayaal hai ke is qadeem imarat ko munhadim nahi karna chahiye kyunkay ye saqafati virsa ki haamil imarat hai.

Adalat ne hukoomat se sawal kiya ke ye imarat Heritage  hai ya nahi hai is ki wazahat ki jaye? Hukoomat ne is par kaha ke hospital ki murammat ke liye pehlay hi 6 Crore rupay ki raqam allot ki gayi thi. Sarkari wakeel ne adalat se kaha kay kamoun ki pishrft ke silsila mein tafseelaat adalat ko pesh ki jayen gi. Baad azan is maamla ki samaat 4 August tak multawi kar di gayi. Isi douran adalat ne riyasat mein qanoon haq taleem par amal nah honay ka daawa karte hue daakhil kardah mafaad aama ki arzi ki samaat bhi adalat ne ki. 2015 se is masla par kayi mafaad aama ki aarziyan zair eltewa hain. Is qanoon par amal ke silsila mein jawabi halaf nama daakhil karne ki adalat nay hukoomat ko hidayat di. Un aarzion ki samaat 11 August tak multawi kar di gayi.