Monday, May 20, 2024
HomeHyderabadOsmania Hospital ke Doctors ki hadtaal, Corona se pareshan awam ke liye...

Osmania Hospital ke Doctors ki hadtaal, Corona se pareshan awam ke liye masail

Hyderabad: Osmania General Hospital ke junior Doctors ny apne mutalibaat ki takmeel tak OPD, Surgery aur Ward ki khidmaat ka ghair muayana muddat taq boycott karne ka faisla kiya jis ke baad ab dawakhane mein sirf hungami khidmaat injaam di jarahi hain jis se awam ko pareshani horahee hai jo pehlay hi corona ke masail se pareshan hain. OGH junior Doctors Association ( JUDA) ny monitor, Post operative wards mein Oxygen lines jaisay Watts ko dekhnay ke liye, Surgery table ki munasib tadaad ke liye, Ward beds waghera jaisay bunyadi saz-o-samaan ki kami. Guzashta roz hi Doctors JUDA aur Osmania hospital Superintendent ke darmain dawakhane se rujoo senkdon khair Corona mareezon ke liye surgery tables aur Wards ki kami ke bunyadi maslay par behas hui thi taham sirf general surgery department nay mutalibaat tasleem honay tak ghair muayana muddat tak hadtaal par rehne ka faisla kiya tha. Baad azan subah taqreeban 1 ek bajey, JUDA nay elaan kiya ke jab taq bunyadi mutalibaat poooray nahi kiye jatay hain tamam PG Dr apni khidmaat ka boycott karen ge.

Un ki janib se superintendent ko tehreer maktoob mein Osmania Hospital mein sehat se mutaliq bunyadi sahuliyaat ke baaray mein baar baar ki jaaney wali numaindagi ke bawajood Superintendent aur DME, Operation theatre, Wards, Mukammal tor par lais ASC aur post operative wards se mutaliq mamlaat abhi tak hal nahi hue hain. Hadtali Doctors nay kaha hai hum majboor hain 9 September 2020 se hamaray mutalibaat ki takmeel tak hadtaal jari rahay gi aur hum nay OPD, Surgeons aur ward duties ka boycott karna ka faisla karliya hai. Is hadtaal ke sath hi Telangana mein bunyadi ghair corona se mutaliqa tibbi khidmaat ka mukammal khtama hoga jab ke Gandhi ke ilawa Osmania wahid bunyadi dawakhane hain jo ab khusoosi tor par corona se bohraan ka shikaar hain.

Sirf pichlle haftay hi yeh inkishaaf huwa hai ke Wards aur operation theatres ki kharab nazam-o-nasq ki wajah se dawakhane mein Covid Cross Infection huwa jis se pehlay se mojood bimarion mein mubtala mareezon ko un ki Covid dekh bhaal ke liye Gandhi Hospital muntaqil kiya gaya. Junior Doctors ny note kiya ke jab se woh Qulli Qutub Shah ki nai imarat mein daakhil hue hay. Hain tab se hi unhoun nay yeh masail uthae thay. Yeh yaad rakhna chahiye ke 17 July ko shadeed barish ke baais puranay dhanchay ko honay walay shadeed nuqsaan ke baad woh nai aur chhoote imarat mein muntaqil hue taham yahan bhi masail ka ambaar hai.