Hyderabad. Osmania General Hospital ke Doctors ney Hospital ke liye nai imarat ki taamer ke apne motalebe mein shiddat paida karte huwe bataur ehtijaj aaj helmet pehan kar mareezon ka ilaaj kiya. Doctors aik arse se Osmania General Hospital ki qadeem imarat ki khasta haali par kayi martaba shikayaat darj karwachke hain magar qadeem imarat ki jagah naayi imarat taamer karne par hukoomat taraddud ka shikaar rahi hai chunkay Hospital ki qadeem imarat ke inhedam par aik gosha mukhalfat kar raha hai. Greater Hyderabad Municipal Corporation ney bhi imarat ki boseedgi ko dekhte huwe usay munhadim kardainay ki Notice dey rakhi hai. Naayi imarat ki taamer ke mutalebe ko hukoomat ke nazar andaz kardainay par Doctors ney munfarid andaaz mein apna ehtijaj darj karwane aaj helmet pehan kar mareezon ka ilaaj kiya. Yaad rahay ke guzishta mah mareezon par chhat ka palaster ukhad kar girjane ke teen waqhiyat runuma ho chukay hain. Doctors ney kaha ke woh masla ki yaksoi tak apna ehtijaj jari rakhain ge. Aik Dr ney kaha ke kisi bhi waqt hamaray suron par chhat gir sakti hai is liye hum apne aap ko bachaaye rakhnay Duty par helmet pahannay ka faisla kiya hai. Doctors ney jumaraat ko Regular Wards ki bajaye Hospital Campus par Nurses aur Junior Doctors Association ke ishteraak se Outpatient Stalls qaim kiye.