Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadOsmania general hospital mein doctoron ki qillat, corona ke bohraan mein awam...

Osmania general hospital mein doctoron ki qillat, corona ke bohraan mein awam pareshan

Hyderabad: Osmania general hospital mein COVID-19 ke mamlaat mein musalsal izafah dekhnay mein aaraha hai. hospital hukkaam nay doctoron ki kami ki ittila di aur mareezon ki aamad ko poora karne ke liye mazeed doctoron ki zaroorat par tawajah mabzol karwai hai. sirf teen din mein ek hazar mamlaat ka izafah honay ke sath hi hospital jaane walay logon ki tadaad mein izafah hua hai.

Mareezon ki tadaad mein izafah aur unke ilaaj ke liye Osmania general hospital ke suprintendent ne dosray tamam PG aur house surgeons ko covid19 ki khidmaat par mamoor karne ka mutalba kiya hai. jari kardah hukum ke mutabiq hyderabad ke Osmania general hospital mein corona mareezon ki tadaad mein achanak izafay ke paish-e-nazar, mehakmon ke professor aur sadar shobay ke ohday daaron se arzi tor per PG aur house surgeons covid19 general ke ohday par tainaat karne ki darkhwast ki gayi hai taakay woh medicine general medicine department ke tehat kaam karne ke liye dastyab hon sakay.

Covid-19 ke faraiz anjaam denay ke liye general surgery, orthopedics, neurology, amraaz-e-qalb, plastic surgery, aur medical gastro science ke shobay ke PGs dastyab honge. junior ke doctoron ke kehnay ke baad ek hafta baat samnay aayi hai ke unka career dao par laga hua hai kyunkay woh apni ahdaaf par tawajah denay mein qassar hain.

Gandhi hospital mareezon ka ilaaj kar raha tha aur is tanazur mein junior doctoron ne kaha hai ke

doctoron ne kaha hai ke covid-19 ke faraiz ki wajah se pichle teen mahino mein woh apni mahaarat se mutaliq mareezon ke ilaaj mein teen mah ka tajurbah aur seekhnay se mahroom hogaye hain.     –YTN STAFF