Monday, April 29, 2024
HomeHyderabadOsman Sagar aur Himayat Nagar ke Parks hanooz band, Awam qudrati aabi...

Osman Sagar aur Himayat Nagar ke Parks hanooz band, Awam qudrati aabi nazaron se mehroom

Hyderabad: Halaank ab shehar Hyderabad mein awaami parks khulay hue hain lekin Osman Sagar aur Himayat Sagar par Water Side parks se awam ko door kardeya ja raha hai. Pichlle kuch hafton mein sayaho ke liye jheelon se pani ka ikhraj tawajah ka markaz bana raha lekin un qudrati manazair dekhnay jane walay awam se kaha gaya hai ke woh kahin aur jayen kyunkay Osman Sagar aur Himayat Nagar awam ke liye band hain.

Jalamandali Park ke paas Canteen chalanay walay Mohammad Farooq ne is khusos mein kaha hai ab qareeb 8 mah hogaye hain aur yeh park band hi hai. Mein ne apna kaarobar mukammal tor par kho diya hai aur mujhe koi umeed nahi hai ke jald kaarobar dobarah shuru hoga. Aam dinon mein yahan rozana kam az kam 400 afraad is park ka rukh karte thay aur aur haftay ke aakhir mein 800-1000 awam mojood rehtay thay. Aur yeh park HMWS aur SB ke zair-e-intizam hai. Narsangi se talluq rakhnay walay Nando Singh ne kaha hai ke mein is haftay doosri baar yahan aaya tha ke aaya yeh khula hai ya nahi. Hum selaab ke baad yahan pani ki nikasi ka manzar dekhnay ke khwahan thay lekin hum yeh qudrati nazarah bhi nahi dekh sakay hain. Parking Area mein baithy hue unhoun ne mazeed kaha ke mujhe taaza huwa mein saans lainay ke liye dosray Picnic ke maqamat bhi dhoandne hain kyunkay yahan andar jane ki ijazat nahi hai.

HMWS and SB ohdedaron ne kaha hai ke parks corona wabai amraaz ki wajah se band hain. Police Himayat Nagar ke qareeb bhi tainaat hai, Jin ke darwazay FTL pounchanay ke baad pichlle haftay khole gaye thay. Security ke liye woh ab bhi awam ko pani ke aas paas jane nahi day rahay hain. Sirf amlay ke kaarkunon aur muqami leaders ko hi andar jane ki ijazat hai. Shehri jo pani se labraiz aabi zakhiron ke nadir manazair ko dekhna chahtay hain inhen hanooz andar jane ki ijazat nahi hai.

HMWS aur SB ke Deputy General Manager jo Gandipet ( Osman Sagar ) ki dekh bhaal karte hain unhoun ne kaha hamein hukoomat ki taraf se awam ke liye Sagar ke parks ya gate kholnay ka koi hukum masool nahi huwa hai dar haqeeqat hamein awam ko roknay ke liye ek rukawat khadi karne ka hukum diya gaya hai. Hifazati wajohaat ke sabab aabi zakhair ke qareeb awam ko anay ki ajazat nahi hai. Unhoun ne mazeed kaha hai ke mujhe nahi maloom ke park ya sagar ko awam ke liye kab khol diya jaye ga.