11th September 2001 ko America ke World Trade Center aur Pentagon ki imaarton par hamlon ke baad pehli baar Al Qaeda ke baani maqtool Osama bin Laden ki walida Alia Ganam ke tasuraat manzar-e-aam par aeye hain. Un ka kehna hai ke awail umri mein mere betay ko Islam pasandon ne zehni taur par yarghamal bana liya tha aur inhen brainwash kya gaya. Bartanwi akhbar ‘Guardian’ mein shaya honay walay Alia Ganam ke taaza tasurat mein un ka kehna hai ke un ke betay Osama ban Laden ki Jeddah mein douran taalib ilmi Ikhwan ul Muslimoon ke Rohani musheer kehelwanay walay Dr. Abdullah Azam ke sath mulaqaat huyi. Bin Laden Shah Abdulaziz University mein is waqt muashiaat ke taalib ilm thay. Napasandeedah sar garmion ki wajah se Saudi Hukoomat ne Abdullah Azam ko malik se be dakhal kar diya tha. baad azan woh Ikhwan ul Musilmoon ke Rohani peshwa ban gaye. Alia Ganam ka kehna hai ke Osama bin Laden ko is waqt zehni tor par yarghamal banaya gaya jab is ki umar bees saal ke lag bhag thi. usay brain wash kya gaya. bees saal tak umar mein hamein Osama bin Laden aik aur shakhsiyat jab ke is ke baad aik naya shakhs dikhayi deta hai. Bin Laden ki Shami nazaad walida ka kehna hai ke unhon ne bachpan Shaam ke shehar Allazqia mein basar kya. Sanh 1950 ke wast mein un ka khandan Saudi Arab muntaqil ho gaya. Un ka kehna hai ke Osama bin Laden ne khandan ki mukhalfat ke bawajood apne sarmaya ka aik bara hissa Afghanistan jung par sirf kya. Un ka mazeed kehna tha ke jihadi sargarmion mein hissa lainay ki wajah se Osama bin Laden ko khandan ke dosray afraad ki mukhalfat ka saamna tha. un ki apne khandan ke sath aakhri mulaqaat 1999 mein Afghanistan ke shehar qndhar ke qareeb hui jahan ban Laden muqeem thay. khayaal rahay ke Alia Ganam ne sunah 1960 mein apne shohar aur bin Laden ke waalid se Talaq le li thi. Yeh Talaq bin Laden ki paidaiesh ke teen saal ke baad hui. is ke baad unhon ne Mohammad Alattas nami aik karobari shakhs ke sath shadi ki. ‘Guardian’ ke mutabiq bohat pehlay se bin Laden poori duniya mein insidaad e dehshat gardi ka pehla hadaf ban gaye thay. Unhon ne Saudi Arab ke shehrion ko mashriq aur maghrib ke darmain deewar bananay ki koshish ki. Akhbar ne Bartanwi intellignce ke aik Officer ke hawala se bataya hai ke bin Laden ne 9/11 ke hamlon ke liye qasdan Saudi jungjuon ka istemaal kya. Unhen yaqeen tha ke Saudion ke zareya America par hamla karanay se maghrib Saudi arab ka nizaam tall pitt kardey ga. Woh amlan aik nai jung shuru karne mein to kamyaab hogaya magar woh jung jis ki Osama bin Laden ko tawaqqa thi shuru nahi hui.