Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaOpposition Ki Mukhalifat Ke Beech, Talaq Salasa Bill Lok Sabha Mein Hua...

Opposition Ki Mukhalifat Ke Beech, Talaq Salasa Bill Lok Sabha Mein Hua Paas

New Delhi : Opposition ki bhaari mukhalifat ke beech teen Talaq bill lok sabha mein paas ho gaya. voting ke douran bill ke haq mein 303 vote, aur bill ki mukhalfat mein 82 vote daaley gaye. Voting se qabal JDU, TRS, YSR Congress aur TMC ne parliament se walk out kar diya.

JDU aur TMC vote nug se alag rahen. wahein BJD ne bill ke haq mein vote kiya. YSR Congress aur TRS bill ke khilaaf rahay.

Qabil-e-zikar hai ke yeh bill guzashta lok sabha ijlaas mein bhi paas ho gaya tha, lekin Rajya sabha ne is bill ko wapas kar diya tha. 16th lok sabha ki muddat-car khatam honay ke baad Modi hukoomat kuch tabdeelion ke sath is bill ko dobarah le aayi thi. aur aaj din bhar is bill par behas hoti rahi aur aakhir-kaar yeh bill paas ho gaya.

Mazkoorah bill par behas ke douran wazeer qanoon Ravi Shankar prasad ne kaha ke ”Teen Talaq par rok laganay se mutaliq bill, siyasat, mazhab, ka sawal nahi, balkay yeh aurat ke ehteram aur aurat ke insaaf ka sawal hai. aur Hindustan ki betiyoun ke huqooq ki hifazat ke liye sabhi ko is bill ki himayat karni chahiye.

Unhoun ne kaha ke muslim khawateen khud unke paas yeh bitanay ke liye aayi hain ke yeh qanoon anay ke baad woh eid aur yom-e-azaadi manayeenge. prasad ne un khadshaat ko kharij kiya ke tajweez kardah qanoon ka  ghalat istemaal hosakta hai. –YTN STAFF