Sunday, December 8, 2024
HomeJurmOnline Dating, Dhoka dahi ka ek naya jaal, Awam ko hoshiyar rehne...

Online Dating, Dhoka dahi ka ek naya jaal, Awam ko hoshiyar rehne Telangana Police ki hidaayat

Hyderabad: Mohabbat kabhi bhi kisi ke sath bhi hosakti hai jo ke ek fitri amal hai aur isi ko hathyaar banakar online dhoka baaz awaam ko nishana banatay hain aur un se izzat ke naam par raqomat lout letay hain. Mohabbat ke naam par is waqt online dhoka dahi urooj par hai jis ke khilaaf awam ko Cyber Crime Branch ne chokanna rehne ki hidayat di hai. Darin asna Darjeeling, Siliguri aur Kolkata mein kayi thikanon mein mohabbat ke naam par online dhoka dahi karne walon ki yeh nai jamaat mulk bhar mein apni takhreeb kariyon ko anjaam day rahi hai, Doosri taraf online mohabbat karne walay mutasireen ko kabhi bhi ehsas nahi hota hai ke Website ke zariye woh ek jaal mein phas rahay hain aur achanak tamam muhabbaten gayab hojati hain aur un se raqomat ka mutalba shuru hojata hai aur woh apni izzat ko bachanay ki khatir dhoka bazoo ki mutalibaat ko poora karte hain.

Shehar Hyderabad mein Cyber Crime ke ohdedaron ne kaha hai ke maghribi Bengal mein ab mutadid maqamat dhoka dahi karne walon ka markaz banay hue hain jin par tawajah di jarahi hai. Police ohdedaron ne is terhan ki online mohabbat aur dhoka dahi ko Dating Fraud kaha hai. Hukkaam ke bamjab is online dhoka dahi ka sirf nojawan hi nahi balkay omar raseedah afraad bhi nishana ban rahay hain. Mohabbat ke naam par online dhoka dainay walay yeh badmaash jin mein mardon ki madad se Groups mein kaam karne wali shareek khawateen un logon ko nishana bana rahi hain jo mohabbat aur raahat ki talaash mein web sites ka rukh karte hain, Khaas tor par Corona wabai amraaz ke bohraan ne is terhan ki online dhoka dahi ki rahein hamwar ki hain.

Lockdown ke douran online dosti aur Dating Fraud ke mamlaat mein izafah huwa hai. Hyderabad ke ACP ( Cyber Crime ) ke VM Prasad ne kaha hai mutasireen ki ek badi tadaad 40 saal se ziyada omar ki hai aur dosti ya dating Apps par aasani se baat kar rahay hain. Haliya hafton mein police ki janib se muqadmaat ki tajzia se inkishaaf huwa hai ke mutasirah afraad ziyada tar aisay afraad thay jo gharon se kaam karte thay ya karobari afraad jo apne Stores mein beekar baithy rehtay hain.

Bohat se mamlaat mein dhoka bazoo ne Facebook ya deegar samaji rabton ki mobile Apps ke zariye mutasireen se dosti ki. ACP ne kaha hamesha ki terhan, Dhoka dahi karne walon ne inhen Chats aur Video Calls ke jaal mein phaans liya, Un ki harkatein Record kee aur unhein Blackmail kiya hai. Aksar mamlaat mein dhoka baz apne shikaar se 50 hazaar rupay se kam raqam ka mutalba karte hain jis par mutasireen masharti badnami ke khauf se aur auqaat zaya honay ke khauf se apne mamlaat manzar aam par nahi laatay hain aur nah hi police mein shikayat darj kerwatay hain balkay is ke bar aks dhoka bazoo ko raqam day dete hain.

Dhoka dahi karne wala jaan boojh kar daur daraaz ke reyaston se mutasireen kaantkhab karta hai taakay police bhi itni kam raqam ke mamlaat ko sanjeedgi se nahi layte lekin Telangana Police ne yeh ek faisla kiya hai ke jab bhi kisi muamlay ki ittila mili ke is ki raqam kitni hi choti hai ya badi kyun nah ho to un jalsazon ko pakadney aur un ko roknay ke liye ek team rawana ki jaye gi taakay woh mujrimon ke liye rokk thaam ka kaam kere. Hum yeh bhi yakeeni banatay hain ke muqami police apne daira ikhtiyar mein honay wali ghair qanooni sargarmi se aagah hojaye.