Friday, May 10, 2024
HomeHyderabadOnline Classes ki koshish talkh tajurbay mein tabdeel, Talba sehat ke masail...

Online Classes ki koshish talkh tajurbay mein tabdeel, Talba sehat ke masail se pareshan

Hyderabad: March ke aakhir se lockdown ne schools ko nisaab ki takmeel ko yaqenee bananay ke liye online classes ke ineqad par majaboor kardiya hai lekin ab un classes ke liye mukhtalif mobile aur computer Application ka zaroorat se ziyada istemaal masail ki ek nai hadd ku uboor kar raha hai.

Ziyada tar Schools mein ek ke baad deegray classes ka ineqad ke sath hi asateza ek class khatam honay ke foran bad munasib waqfay ke baghair doosri class ke liye login ho rahay hain jis ka natejah ye ho raha hai ke talba musalsal classes ki wajah se jald hi thak rahay hain. Is ke ilawa in mein ankhen aur kamar ke dard ki shikayat horahee hain.

Physiotherapist Dr Naween Papla ne kaha hai ke inhen bohat se walidain ki janib se in ke bachoun mein seedhay bhaithne aur kamar se mutaliq masail ke baray mein shikayaat masool horahee hain.

Aam tor par bachay ek class ke baad doosri class se qabal Room se baher atay hain. Bad qismati se Online classes mein talba ziyada der tak ek hi andaaz par baithy hain. Un mein se bohat se computer ki bajaye mobile phone bhi istemaal kar rahay hain lehaza wo phone par classes mein ziyada der tak ek hi andaaz mein bhaithne se un mein kamar ki takleef badh rahi hai.

October ke aakhir mein Schools ke dobarah khilnay ki it-tila-aat ke sath online classes ko khaas ahmiyat di jarahi hai lekin ye online classes ab bohat se walidain ko pareshan kar rahi hain ke is se un ke bachoun ki sahet par muzir asraat pad rahi hain.

Software Professional Vivek Sampara jin ki 12 sala beti online classes mein shareek hai is  ne Bluetooth Airpods ke sath munasib oonchai par mobile phone ko rakha taakay cheezoun ko asaan banaya jaye lekin is ke bhi khatir khuwa nataij bar aamad nahi huve. Online classes mein kuch talba bhaari headset pehnay hai jis se inhen gardan mein takleef ki shikayat horahee hai.

Apollo Hospital ke senior Consultant Patholog Dr Prashant Gupta ki wazahat karte huwe kaha hai ke talba jab LabTop, Phone ya Desktop par Screens ka istemaal karte hain to ziyada palak nahi jhapakty hain jis ki wajah se aankhoun mein sokha-pan peda ho sakta hai. Ye haqeeqat musalmah hai ke jab hum Digital alaat par kaam karte hain to hum apni mamooli palak jhapkane ki sharah se aadhi tadaad mein hi  palak jhapakty hain.

Waqt guzarnay ke sath bachay aankhoun mein dhondlapan, Jalan, Bhaari ya thakawat wali ankhen, Aankhoun mein tanao, Aur yahan tak ke khushk honay ka iztirari rad-e-amal ka shikaar ho saktay hain. Dr ne kaha ke mein hamesha sarfeen se kehta hon ke wo 20-20-20 usool par amal karen. Har 20 minute mein kam az kam 20 second ke liye kam az kam 20 feet daur kisi shai ko dekhnay ke liye apni ankhen ka rukh tabdeel kare. mahireen ne kaha hai ke munasib ghiza, Vitamin B 12 aur D aur aitdaal pasand werzish bhi is terhan ke masail se bachney ke liye zurori hai. –YTN STAFF