Riyadh: Duniya bhar seUmrah par anay waloun ka safar ab Mecca aur Madina tak mehdood nahi raha balkay ab wo Saudi Arab ke dosray shehroun mein saqafati aur tareekhi virsay ki sair bhi kar sakenge jo kay duniya bhar ke awam ke liye ek badi khush khaberi hai kyunkay wo ab apne pasandeeda mulk ki Saqafat aur tareekhi maqamat ki sair bhi kar saken ge. Ab Umrah zaireen mukhtalif shehroun mein jasakte hain aur Saudi Arab mein mojood qadeem aur jadeed ajaebaat dekh satke hain.
Mecca mein Saudi commission baraye sayahat-o-qaumi saqafati virsa ke director general Hashim Madani ne media se baat karte hue kaha hai ke commission ke paas sayahat ki taraqqi ke mansoobon par amal pera honay ki salahiyat mojod hai. Saudi sayahat ko qabil qader taraqqi di ja rahi hai. Mecca mein Saudi commission baraye sayahat aur qaumi virsa ki janib se mukhtasir course ka ihtimaam kiya gaya jis ke baad course ki sherka ne is shoba mein khidmaat anjaam dainay par khushi ka izhaar kiya.
Hashim Madani ne tour guides ko pesha warana andaaz mein zimma dariyan nibhanay mein zurori mahaarat aur Umrah par anay waloun ke itminan ko yakeeni bananay ke liye tarbiyat ki ahmiyat wazeh ki. Hashim Madani ne kaha ke hum yahan anay waloun ki zaroriat aur takazoon ke hal ko mad-e-nazar rakhtay hue un ki zabaan mein guide muhayya karne ke amal par kaam kar rahay hain. Is safar mein tour guide ki madad bhi haasil hogi. Tour guide zaireen ki madad karne mein fakhr mehsoos karte hain.
Is mauqa par tarbiyat Yafta Tour Guide Rania Shirdi ne khushi ka izhaar karte hue kaha ke Umrah par anay waloun ki is andaaz se khidmat mere liye Yezaz hai. Rania ne kaha ke hum anay waloun ko behtar khidmaat dainay ke khwaahan hain taakay wo baghair kisi diqat ke sayahati maqamat dekh saken.
Mecca se Taif aur rastay mein dono shehroun mein tareekhi maqamat dikhaane ke liye sayaho ke liye khusoosi bus service muta-arif karwai jarahi hai. Taif ka khobsorat mausam, Pur-fiza maqamat, Parkashish aur harey bharay pahari rastay yahan anay waloun ko khush aamdeed kehte hain. Taif mein Prince Price Saud Al faisal waleed life center ke ilawa ghulaab ke phoolon ke baagaat aur ghulaab ka itar bananay wali factories mojood hain.
Is mauqa par ek Tour Guide Moona Daksatani ne kaha ke inhen yahan anay waloun ki khidmat ki ahmiyat ka ehsas hai. Daksatani ne kaha ke hum inhen Saudi saqafati aur tareekhi maqamat ki sair karate hue jazeera numa Arab ki tareekh ke barey mein batainge.
Ek aur tour guide Fozia Hurairi ne khayalat ka izhaar kiya ke Umrah par anay waloun ko Mecca, Madina aur muqaddas maqamat tak mehdood nahi rehna chahiye, Inhen yahan ke qadeem maqamat aur deegar shehroun ka dora karkay tajarbaat haasil karne chahaiyen. Hurairi ne mazeed kaha ke kuch loog Saudi Arab mein honay wali tafrehi sar garmioun ke barey mein bhi janna chahtay hain.
Sayahati guide Izzat Ghazavi ne kaha ke hum khusoosi musafiroun ke qiyam aur transport ki zaroriat ko asaan bananay ke liye sakht mehnat kar rahay hain. Ghazavi ne kaha ke Mecca Mukarmah ke assaar Qadima ke barey mein bhi rahnumai ki jayegi. –YTN STAFF