Saturday, October 5, 2024
HomeTrending NewsOman mein Eid Ul Fitr ke har qisam ke ijitmaat par pabandi

Oman mein Eid Ul Fitr ke har qisam ke ijitmaat par pabandi

Muscat: Omani hukoomat ne kaha hai ke Eid Ul Fitr ke mauqa par har qisam ke ijitmaat par mukammal pabandi hogi. Eid ki namaz aur Eid milan taqribaat sameit kisi bhi qisam ka program munaqqid nahi kiya jaskta. Coronavirus se logoun ko mehfooz rakhnay ki khatir Omani police ko khusoosi ehkamaat sadir kar diye gaye hain taakay wo Omani maqamat par nazar rakhen. Khilaaf warzi karne waloun ku qayed aur jurmane ki saza ka bhi hukum sadir kar diya gaya hai.

Omani news agency ke mutabiq coronavirus se nimatnay ke liye qaim ki jane wali committee ki sifarish par hukoomat ne faisla kiya hai ke Eid Ul Fitr ke hawalay se khusoosi ahteyati tadabeer ikhtiyar karte huve lockdown uthaya jaye taham awaami maqamat par kisi bhi khilaaf warzi ke murtakib par fori jurmane ayed kiye jayen.

Oman mein corona committee ki janib se Eid Ul Fitr ke hawalay se mazeed aalanat kiye jayen ge taakay un par amal karte huve loog Eid ki kharidari kar saken. Marketing ke liye muqarara qawaneen ki khilaaf warzi par qaid aur jurmane ki saza ka bhi elaan kiya jaye ga. committee neh kaha hai ke awaami maqamat par anay walay laazmi tor par Mask ka istemaal karen. Tijarti aur naqal o hamal ke shobay se munsalik afraad par bhi is pabandi ka itlaq laazmi hoga. –YTN STAFF