Monday, October 14, 2024
HomeSliderOman mein Eid ke douran bhi Curfew, Shehroun ke darmain safar par...

Oman mein Eid ke douran bhi Curfew, Shehroun ke darmain safar par pabandi

Muscat: Saltanat Oman ne 25 July se 8 August tak shehroun ke darmain safar par pabandi ayed karne ka faisla kiya hai. Omani News Agency ke mutabiq wizarat sahet ne kaha hai ke mazkoorah muddat ke douran tamam Commissioner aur shehroun ko mukammal lockdown kiya jaye ga. Tamam shehroun mein shaam 7 bajey se subah 6 bajey tak curfew hoga. Is douran tamam karobari o awaami marakaz band rahen ge.

Wazeh rahay ke Oman mein guzashta 24 ghantoun ke douran 1458 afraad mein corona ki tasdeeq huvi hai jabkay 11 afraad halaak huve hain. Wizarat sahet ke mutabiq Oman mein corona ke mareezoun ki tadaad 69887 hogayi hai jabkay halaak shodgan 337 hogaye hain. Coronavirus ke baais daar ul hukomat Muscat sameit Zafar, Duqm aur deegar sayahati ilaaqoun ko band kardiya gaya tha taham baad mein narmi ka faisla kiya gaya. Deegar khaleeji mumalik ki terhan Oman ne bhi apni badi, Behri aur fazai hudood band rakhi hui hain.