Saturday, October 5, 2024
HomeSliderOman mein akhbarat ki ashaat band

Oman mein akhbarat ki ashaat band

Muscat: Kisi bhi mulk mein jab halaat sangeen hotay hain aur Curfew ki sorat e haal hojati hai to un halaat mein Media aur Media numaindoun ki zimma dariyan kaafi badh jati hain, Jahan zindagi ke har shoba mein sargarmia ruksi jati hain wahein Media ki sargarmia aur badh jati hain. Hungami halaat mein Media ke band honay ka tasawwur bhi nahi kiya ja sakta lekin agar kisi maqam ya mulk ke akhbarat hi band ho jaien to ye heran kun khabar hojati hai aur ab Oman se aisi hi ek heran kun khabar mili hai ke mulk mein akhbarat ki ashaat hi band hogayi hai.

Tafseelaat ke bamujab saltanat Oman ne naye Coronavirus ke phelaoun ku roknay ke liye kayi iqdamaat ka elaan kiya hai. Akhbarat o rasail aur mukhtalif qisam ke Letrecher ki ashaat o taqseem par pabandi laga di gayi. Saltanat Oman Coronavirus se nimatnay ke liye aala satah ki Committee qayem kiye huve hai. Committee ne faisla kiya hai ke beroun mulk jari honay walay Letrecher aur akhbar o rasail ki ashaat aur taqseem moattal kardi jaye jabkay sarkari idaroun mein sirf 30 feesad mulazmeen kaam karen ge.

Yaad rahay ke saltanat Oman ke hukkaam ne awaami maqamat par har terhan ke ijtima par pehlay hi pabandi ayed kar rakhi hai. Awaami zaraye hamal o naqal bhi band hai. Amani wizarat sahet ne is se qabal elaan kiya tha ke naye Coronavirus ke mazeed 3 mareez manzar aam par aaye hain. Oman mein Corona ke mareezon ki majmoi tadaad 55 hochuki hai jabkay 17 afraad shifa-yab huve hain. –YTN STAFF