Muscat: Saltanat Oman ke farman rawa Sultan Haitham bin Tariq ne mulk ke parcham, Logo aur qaumi tarane mein tabdeeli ka farmaan jari kiya hai. Omani khabar-rasan idaray ke mutabiq qaumi tarane ke aakhri ashaar hazf kardiye gaye. Un mein mulk ke sabiq farman rawa Sultan Qaboos Bin Said ka naam shaamil tha. Sultan Qaboos Bin Said 10 January 2020 ko 79 saal ki omar mein intqaal kar gaye thay.
Omani TV ke mutabiq Sultaani farmaan ke tehat tarane, Logo aur qaumi parcham mein ki jaaney wali tabdeelioun se awam ko aagah kardiya gaya hai. pehlay tarane mein Sultan Qaboos ko mulk ki taamer o taraqqi ki kuleed ke tor par pesh kiya ja raha tha jabkay naye tarane mein duaiya kalmaat shaamil kiye gaye hain.
Yaad rahay ke Arab duniya mein taweel arsay tak hukmarani karne walay Sultanat Oman ke sarbarah Sultan Qaboos Bin Said 79 baras ki omar mein intqaal kar gaye. Wo 18 November 1940 ko Salala mein peda huve thay aur Arab duniya aur mashriq wasti mein sab se taweel arsay tak barsareِ iqtidaar rehne walay sarbarah thay. Sultan Qaboos Bin Said ghair shadi shuda thay aur un ka koi bhai bhi nahi hai.
Sultanat Oman ka sarbarah ban’nay se qabal Haitham bin Tariq Al Said qaumi virsa aur saqafat ke wazeer ki hesiyat se zimma dariyan sambhale huve thay. Wo Oxford University se ghair mulki Service Program ki taleem haasil karkay 1979 mein farigh ulthesil huve.
Haitham bin Tariq Al Said ne aksar beroun mulk oman ki numaindagi karte huve ahem safarti kirdaar ada kiya hai. Wazeh rahay ke Oman ke ayeen ke mutabiq Shahi khandan ko takhat khaali honay ke 3 din ke andar saltanat ke janasheen ka taayun karna hota hai. –YTN STAFF