Wednesday, May 8, 2024
HomeIndiaOm Birla, Lok Sabha ke Website par RSS ke Aadmi nahi lekin...

Om Birla, Lok Sabha ke Website par RSS ke Aadmi nahi lekin haqeeqat mein Modi ke noor nazar?

New Delhi: Rajasthan ke Kota Bundi intikhabi halqa se BJP rukan parliament Om Birla Lok Sabha ka Speaker banaya gaya hai aur woh is waqt siyasi aur awaami halqon mein mauzo behas baney huwe hain aur yeh sab jantay hain ke Birla ka talluq RSS se hain lekin jaisay hi un ko Speaker banaya gaya Lok Sabha ki Website se un ke mutaliq RSS aur Mandir jaisay mozuaat ko hata diya gaya hai. Om Birla ka naam jab Lok Sabha saddar ohda ke liye samnay aaya to sabhi heran reh gaye they. Herat zada rehne walon mein BJP aur NDA mein shaamil doosri Partiyon ke arakeen parliament bhi shaamil they. Lekin is se bhi ziyada heran karne wali koshish ab samnay aayi hai. Lok Sabha ki Website ki nighdasht karne walay Lok Sabha secretary ney naaye speaker Om Birla ke taaruf mein se woh batein hata di hain jin mein un ke RSS se talluq honay aur Ayodhya tehreek mein hissa lainey ki batein kahi gayi theen.

Darasal is se pehlay Lok Sabha Website par un ke taaruf mein saaf tazkara tha ke Om Birla ka talluq RSS se raha hai, lekin ab aisi koi tafseel Website par mojood nahi hai. Itna hi nahi, nayee  tafseel ko tabdeel kiye jaanay se pehlay tak Om Birla ke taaruf mein bataya gaya tha ke unhon ney Ayodhya ki Ram Mandir tehreek mein sargaram hissa liya tha. Ab yeh poora paragraph hi hata diya gaya hai. Sabiq portfolio mein kaha gaya tha ke Ram Mandir taamer tehreek mein sargaram tor par hissa lainey ke sabab Om Birla ko Uttar Pradesh mein jail bhi bheja gaya tha lekin naye taaruf mein Lok Sabha Speaker ke barey mein sirf un ke samaji kamon ka hi tazkara hai.

Ghuor talabb hai ke BJP aur RSS jis Ayodhya ya Ram Mandir tehreek ki baat karte hain woh aik siyasi tehreek thi jis mein pur-tashaddud sargarmion ki baat lagataar samney aati rahi hain, jis ke baad Ayodhya mein Babri Masjid ko munhadim kar diya gaya tha. Is waqhiye ke baad Mulk ke kayi hisson mein firqa waranah fasaad huwe they jis mein hazaron logon ki jaan chali gayi. Rajasthan ki siyasat par nazar rakhney walay aik siyasi tajzia nigaar ke bamoujib Birla ko Lok Sabha Saddar bananey ke peechay Mulk ko hindu Rashtra bananey ki simt mein aik qadam mana jana chahiye, lekin is baar kuch inkisari dikhayi ja rahi hai lekin Birla ko aisay ohda par bithana jis mein party ki siyasat se uth kar rawayya ikhtiyar karna hota hai, heran karne wali baat nahi hai kyunkay BJP ki Mansha sab ko maloom hai.

Haal hi mein BJP chode kar Congress mein aeye aik puraney Leader nay kaha ke aik rukan parliament aur Leader ki shakal mein Birla ki wahid asulayabi yahi hai ke woh RSS ke nazdeeqi hain aur kisi bhi mutanazia masla par un ka koi rukh nahi hota. Modi ney Birla ka is ohda ke liye muntahab kisi khaas wajah se kiya hai. Kaha ja raha hai ke sab se pehli baat to yeh ke woh RSS ke qareebi hain aur doosri baat yeh ke woh aasani se jhukney walay shakhs hain. Modi kabhi bhi aisay shakhs ko pasand nahi karte hain jo un ki khawahisaat ya faislon se zara bhi na-itefaqi zahir karta hai. Siyasi tajzia nigaron ka maanna hai ke RSS se nazdikyon ke ilawa Modi ke sath un ka sulooq bhi un ke haq mein gaya hai aur 2001 ke Gujrat zalzala ke douran Birla taqreeban 100 soym syokon aur Doctoron ki team ke sath Gujrat mein raahat kaam mein jate they.

Ghuor talabb hai ke Lok Sabha Speaker ohda ke liye kayi naam zair behas they, jin mein Menaka Gandhi ka naam bhi shaamil tha. Bahar haal yeh pehla mauqa nahi hai jab kisi kam tajurbah walay rukan parliament ko Lok Sabha speaker banaya gaya hai. 1996 mein TDP Leader Balayogi ko bhi Lok Sabha Speaker banaya gaya tha woh bhi sirf do martaba hi rukan parliament banay they. Un ke intqaal ke baad 2002 mein Shiv Sena Leader Manohar Joshi ko Lok Sabha Speaker banaya gaya tha, jo ke pehli martaba rukan parliament banay they.