Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderOlympics ke multawi honay se Japan ko arboun Dollars ka nuqsaan

Olympics ke multawi honay se Japan ko arboun Dollars ka nuqsaan

Tokyo: Japan ke Wazeer e Azam ki janib se Olympic muqablay ek saal tak mokhar kiye jaaney ke faislay ke baad maizban mulk ko arboun Dollars ka nuqsaan hoga. Japan Olympic Committee ki koshish thi ke kisi terhan Olympic ka ineqad muqarara waqt par kar liya jaye chahay is ke liye shaiqeen ko Stadium anay se rokk hi kyun na diya jaye, Japan jo pehlay hi Olympic muqabloun ke ineqad ke liye arboun Dollars kharch kar chuka hai lekin Coronavirus ke sabab ab muqabloun mein takheer ke liye tayyar huva hai.

Japan mein ab tak 900 se zayed afraad Coronavrus ki tashkeez hochuki hai jabkay 43 afraad halaak bhi ho chukay hain. Corona ki waba se poori duniya ke mutasir honay ke baad Japaani Wazeer e Azam ne bhi muqabloun mein takheer ka elaan kardiya hai. Iltiwa japaani ke liye arboun Dollar ke nuqsaan ka sabab ban sakta hai. Tokyo mein duniya bhar se anay walay Athletes ke liye Olympics Village tayyar hai, Jis ki taamer par 203 Arab Dollar kharch huve hain, Muqabloun ke iltiwa se Village ki dekh bhaal par mazeed khateer raqam kharch karna pade gi.

Muntazmeen ne Olympics ke ineqad ke liye 2 lakh raza karoun ko khusoosi tarbiyat di thi wo ab raaygan jaegi, Jabkay aglay baras ya 2022 main Games honay ki soorat mein un logoun ko naye seray se tayyariyan karni padh sakti hain. Corona ki wajah se duniya bhar ke Events multawi hogaye hain. –YTN STAFF