Friday, April 19, 2024
HomeIndiaOdisha mein shadeed baarish chhattisgarh aur Madhya pradesh mein intebah jaari

Odisha mein shadeed baarish chhattisgarh aur Madhya pradesh mein intebah jaari

New Delhi: Odisha ke kayi hisson mein shadeed baarish record ki gayi kyun ke shamal magribi khaleej Bengal aur us se mulhiqa Odisha ke sahil par dabao magribi shimaal maghrib ki taraf badh kar peer ki ibtedai ghanton mein shadeed dabao mein badal gaya.

IMD ne kaha hai ke Odisha shimaali chhattisgarh aur Madhya pradesh mein agle 48 ghanton ke dauran shadeed baarish ka imkaan hain. Odisha ke darul hukoomat Puri mein do muqamat par gujishta 24 ghanton ke dauran 500 mili meter se zyada baarish huwi jabke 3 darjen se zaed deegar muqamat par 100 mili meter se zyada baarish huwi hai.

Shimaali maghribi khaleej Bengal aur us se mulhiqa Odisha ke sahil par dabao pichle 6 ghanton ke dauran 12 kilometer fee ghanta ki raftar se maghrib se shimaal maghrib ki taraf badha aur aage ek gehre dabao mein tabdeel huwa aur peer ko subha 8.30 baje shimaali sahil Odisha ke sahil par takrane se kayi muqamat par shadeed baarish huwi hai..

Hindustan ke muhkama mausamiyat (IMD) ne subha kaha ke yeh dabao chand bali ke maghrib se shimaal maghrib mein 20 kilometer aur kyujergad se 120 kilometer mashriq junoob mashriq mein hai.

IMD ne kaha agle 48 ghanton ke dauran shimaali Odisha shimaali chhattisgarh aur Madhya pradesh mein maghribi wardon ke naql o harkat jaari rehne ka bohut zyada imkaan hain. IMD ne mazeed intebah diya hai ke zyada tar muqamat par halki se darmiyani baarish ke saath chand muqamat par bhari se bohut zyada baarish ka khadsha hai aur peer ko Odisha aur chhattisgarh mein alag alag muqamat par intehai bhari barish ka imkaan hain.

Peer ko shimaali sahili Andhra Pradesh maghribi Bengal jharkand aur Telangana mein aur mangal tak Madhya pradesh mein bohut se muqamat par halki se darmiyani baarish ka imkaan hain. Ppeer aur mangal ko junoobi Gujrat shimaali konken shimaali anduroon Maharashtera ba shamool widarbha mein zyada tar muqamat par halki se darmiyani baarish aur deegar muqamat par bhari se bohut zyada baarish ka imkaan hain.

Agle 12 ghanton ke dauran shimaal aur us se mulhiqa maghribi wausta khaleej Bengal aur uske saath Odisha maghribi Bengal aur shimaali Andhra Pradesh ke sahilo par tez hawaon ki raftar 50-60 kilometer fee ghanta tak pohunchne ka imkaan hain. IMD ne kaha ke Hawa ki raftar aahista aahista kam hoker 40-50 kilometer fee ghanta ho jaeigi. Muhkama mausamiyat ne maahi geeron ko mashwara diya gaya hai ke woh agle 12 ghanton ke dauran shimaal aur us se mulhiqa maghribi wausta khaleej Bengal aur Odisha maghribi Bengal aur shimaali Andhra Pradesh ke sahilo par na jaye.