Bhubhaneshwar : Adakar se siyasatdaan banay Kamal Haasan ko mangal ke roz Odisha ki ” Centurion University of Technology and Management ne cinema mein unki shiraakat daari ke liye Docrtate ki aizazi degree se nawaza. Odisha ke wazeer-e-aala Naveen Patnaik ne kamal Haasan ko yahan munaqidah ek khusoosi taqreeb mein Docrtate ki degree paish ki.
Is mauqa par khitaab karte hue wazeer-e-aala Naveen Patnaik ne kaha ke’ kamal Haasan ek aisay legend hain, jinhon ne art, cinema aur Insaan dost kamoun ke zariye poori zindagi qoum ki khidmat ki hai. unhon ne cinema mein bohat se naye tajarbaat bhi kiya hai. wazeer-e-aala ne kaha ke ”unki khamosh film ”Pushpak“ ko cinema ki duniya mein har daur ke liye ek behtareen film qarar diya gaya hai.
Patnaik ne kaha ke ”mujhe bataya gaya hai ke unhon ne apne fan club ko insani sar garmion ke liye ek tanzeem mein tabdeel kar diya hai. Is mein insani eqdaar se unki wabastagi ka pata chalta hai. mein unki tamam koshiho mein kamyabi ki khwahish karta hon.
Is aizaz ko qubool karte hue kamal Haasan ne talba se mutalba kiya ke woh mahaarat ke sath taraqqi ke mawaqay se bhar-poor faida uthayin aur qoum ki taraqqi mein numaya kirdaar ada karen. –YTN STAF