Saturday, October 5, 2024
HomeSliderNusrat Jahan Ke Qatal Ka Moamma, 13 Afraad Girftar

Nusrat Jahan Ke Qatal Ka Moamma, 13 Afraad Girftar

Dhaka:  Bangladesh mein madrasay ki 18 sala Taliba nusrat jahan ke qatal ka moamma hal hogaya hai. Dhaka tribune mein shaya report ke mutabiq wazeer-e-azam Sheikh Haseena ney madrasay ki maqtool Taliba Nusrat Jahan ke walidain se mulaqaat mein mukammal insaaf ki yaqeen dehani karade. Sheikh Haseena ney yaqeen dilaya ke qatal mein mulawis har ek mulzim ko kaifar-e-kirdaar tak pohanchaya jayega .

Wazeh rahay ke chatagang ke zila Faini mein Songazayi ke Degree madrasa Songazayi islamia faizul ki Taliba Nusrat Jahan ko mubayyana tor par 6 April ko gas ka Tel Chinak kar aag laga di gayi thi. baad azan Nusrat Jahan ko Dhaka Medical College Hospital pohanchaya gaya jahan doctors nay kaha tha ke Taliba ka jism 80 feesad tak jhulas chuka hai. doctoron nay khadsha zahir kya tha ke aisa lagta hai ke nusrat jahan naay khud kushi nahi ki balkay inhen jalaya gaya. baad azan Nusrat Jahan douran-e-ilaaj 10 April ko dam toad gayeen thi .

Bangladeshi media ke mutabiq Nusrat Jahan ney madrasay ke principal Siraj-ul-Doulah  ke khilaaf Ismat rizi ki koshish ka ilzaam lagaya tha jis ke baad maqtolah par muqadma wapas lainay ka Dabao tha.

Police Bureau of investigation cheif Kanti Janib nay press conference may kaha ke nusrat jahan ke qatal ke ilzaam mein do ladkiyon sameit 13 afraad ko hirasat mein le liya hai. jis mein ek teacher ko bhi girftar kya gaya. doosri janib madrasay ke principal Siraj-ul-Doulah  27 March se zair hirasat hi hain .

Police ki tafteesh mein khadsha zahir kya gaya ke nusrat jahan ke qatal se qabal mutadid afraad naay jail mein principal se mulaqaat ki aur mumkina tor par unhon naay 18 sala Taliba ko qatal karne ki hidaayat di thi. nusrat jahan ke bhai nay bayan diya ke qatal ke din un ki behan imthehaan dainay gayi thi jahan 4 log Nusrat Jahan ko bhula phusla kar chat par le gaye aur Siraj-ul-Doulah  ke khilaaf darkhwast wapas lainay ke dabao dala lekin nusrat nay inkaar kardiya. Nusrat ka inkaar sunney ke baad mushtaba afraad naay gas ka tel chidak kar aag lagadi aur nusrat jaltay hue badan ke sath madrasay ki seedihoon par munh ke bil girtay hue madad talabb karti rahi. Nusrat Jahan ke mobayyana qatal ke baad Bangladesh ke awam mein shadeed gham wo gussa paaya jata hai aur woh maqtulah ko insaaf dilanay ke liye hukoomat par dabao dal rahay hain .- YTN STAFF