Sunday, May 19, 2024
HomeTelanganaNumber Plate ke sath cheid chhad karne walay hooshiyar hojaien

Number Plate ke sath cheid chhad karne walay hooshiyar hojaien

Hyderabad: Telangana traffic police naaqis number Plates ya number plate ke sath cheid chhad karte huve gaadi chalanay waloun ke khilaaf karwai karne ke liye tayyar hai kyunkay pichlle 2 mahino mein ghalat chalanoun ki tadaad mein izafah huwa hai. Chalanoun se bachney ke liye gadiyoun ke malikaan asal number plate mein tabdeeli rahay hain. Filhaal har roz 10 se 15 ghalat E Chalans ki khabrain aa rahi hain, Jabkay March mein sirf 3 se 4 rozana report kiye jarahay thay.

It-tila-aat ke mutabiq gaadi malikaan number Plates mein aakhri ya pehla hessa tabdeel karte huve paye gaye hain. 25 hazaar chalanoun mein se kam se kam 450 se 500 chalanat har mah ghalat numberat par katay jarahay hain. Hyderabad mein taqreeban 1.5 daidh lakh motorcycle ghair munazzam, Mushkil aur naaqis number Plates ka istemaal kar rahay hain. Rachakonda Commissionerate  ki DCP ( Traffic ) Divya Charan ney kaha Motorcycle sawaroun ney E chalanon se bachney ke liye isi terhan ki model gadiyoun aur ek hi rang ki gadiyoun se apni number Plates ko mukammal tor par tabdeel karlen hain lekin un ki ye koshish nakam rahi hai.

Is maslay ko hal karne par Inspector ( traffic ) aur E chalaan department ke incharge Narsimha Rao ne kaha ghalat tareeqay se ayed E chalanon ke liye gaadi malikaan ke paas Website par shikayaat darj karne ka ikhtiyar mojood hai jo karobari din 2 se 3 mein hal hojayega. Hum shikayat ki mukammal jaanch padtaal ke baad hi jari kardah chalaan ko hazf karte hain. Ghalat E chalaan honay wali har 15 reports mein kam az kam 5 se 6 number plate mein chaid chhad ki wajah se hoti hain. Lehaza hamari tavajja un naaqis nambrat par markooz hai.

Unhoun ne mazeed kaha rozana ek gaadi par sirf ek hi chalaan jari karne ki afwaah ki tardeed karte huve narsehma ne kaha, MV Act ke mutabiq gadiyoun par jahan bhi aur jab bhi traffic ke mukhtalif usooloun ki khilaaf warzi hogi wahan chalaan katay ga jaisay helmet nahi pehnay huve, Baghair kisi ainey wali gadiyaan waghera ki saza di ja sakti hai. Traffic qawaneen Cyberabad ke DCP, K Babu Rao ney kaha ke ye sakht qawaid sirf musafiroun ki zindaganian bachanay ke liye hain kyunkay haadsay ke 60 feesad waqeat mein, Peechay sawaar musafir ke helmet nah pahannay ki wajah se apni zindagi se haath dho baithy hain jabkay gaadi chalanay wala shakhs Helmet ki wajah se zakhmi hokar bach gaya. Lehaza hum tamam musafiroun ko Helmet pahannay ki tajweez karte hain.