New Delhi. Chief Election Commission of India Mr. O.P Rawat ne Telangana Assembly ki 6th September jummeraat ko tahleel ki taraf ishara karte huwe aaj kaha ke nujoomi paish qhiyasioon par riyasat mein intekhabaat ki tareekh taye nahi ki jati. Mr. Rawat ney kaha ke geherayee o geerayee se jaiza lainay ke baad hi hum taye karen ge ke aaya Madhya Pradesh, Chhattisgarh, Rajasthan aur Mizoram ke sath Telangana Assembly ke bhi intekhabaat karwaye jayen ya nahi. Siyasi halqon mein yeh baat gasht kar rahi hai ke Telangana Rashtriya Samiti ke sarbarah Mr. K Chandrashekar Rao ney Assembly ki tahleel ke liye 6th September ka intekhab is liye kiya kyunkay 6 ka adad un ke liye naik shagoon hai. Mr. Chandrashekar Rao ney Siddipet se apni intekhabi muhim ka bhi aaghaz isi liye kiya ke 2014 mein bhi unhon ne yahin se intekhabi muhim shuru ki thi jo un ke liye achi saabit huwi. Mr. Rawat ney kaha ke Telagana mein Assembly intekhabaat Electoral Panel ki janib se mukammal tayari karliye jane ke baad hi munaqqid kiye jayen ge. Unhon ney kaha ke Telagana ke Chief Electoral Officer Mr. Rajat Kumar se report ki mausoli ke baad hi intekhabaat ki tareekh taye ki ja sakti hai. Mr. Rajat Kumar jo peer ke din Delhi ka daura karne walay hain, Central Election Commission ko apni report paish karen ge. Unhon ney bhi aaj yahan yeh ishara diya hai ke Telagana mein Electoral List ko finalise karne ke baad hi intekhabaat ki tareekh ka elaan kiya jaye ga.