Thursday, May 16, 2024
HomeSliderNuclear Site mein aag takhreeb kaari ki wajah se lagi: Iran

Nuclear Site mein aag takhreeb kaari ki wajah se lagi: Iran

Tehran: Irani idaara baraye Nuclear tawanai ke tarjuman nay kaha hai ke guzashta mah Iran ki Natanz Nuclear Site mein lagnay wali aag takhreeb kaari ka nateeja thi. Khabar rasan idaray ke mutabiq tarjuman Behrouz Kamalvandi nay kaha hai ke Natanz Nuclear Site mein dhamakay takhreeb kaari ke nateejay mein hue thay.

Tarjuman Behrouz Kamalvandi ney mazeed kaha hai ke Irani security forces munasbat waqt par dhmakon ki wajohaat afsha karen gi. Iran ke aala security idaray ney July mein kaha tha ke Nuclear Site mein lagnay wali aag ki wajah ka taayun kar liya gaya hai lekin waqeye ki maloomat baad mein manzar aam par layi jayen gi. Irani hukkaam ke mutabiq aag lagnay se johri tanseeb ko ziyada nuqsaan pouncha hai jis ke baais Uranium afrozki ke liye Centrifuges  ki tayari sust rawi ka shikaar ho sakti hai.