Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsNTA ne IIT Imtehanat ko Asri Technology se mehfooz tareen banadiya

NTA ne IIT Imtehanat ko Asri Technology se mehfooz tareen banadiya

New Delhi: Hindustan mein IIT asal ahliti imthehaan mein naqal naweesi ko roknay ke liye tamam marakaz par CCTV camera ke alawa har shift mein teen hazaar Jammers bhi lagaye gay they aur imtehaan ka barah-e-raast mushahida bhi Kiya gaya tha taakay shafafiyat barqarar rahay, is ke alawa ek aisa software tayyar Kiya gaya hai jis se ab sawal nama Afsha Bhi  nahi hosakte hain .

National Testing Agency ( NTA ) ke Director general Vinit Joshi ney yeh tafseelaat bataaye hain jin ke idaara ney kal pehli martaba IIT mens ka online imthehaan ke nataij ka elaan kya. 7 taa 12 April ko 267 shehron ke 470 imthehaan marakaz par hue is ahem imthehaan mein 8 laakh 81 hazaar 96 talba ney shirkat ki thi jin mein teen khwaja sara taalib-e-ilm bhi the aur teen laakh 30 hazaar 702 ladkiyan theen. is imthehaan ke 9 ghair mulki marakaz bhi they. is imthehaan mein Delhi   ke Shubham Shriwastav ney pehla maqam haasil Kiya aur jumla 24 taalib ilmoon ney sad feesad percantaile marks haasil kiye. is ke alawa tamam reyaston mein bhi Topper elaan kiye gay. yeh pehla mauqa hai jab NTA ney yeh imthehaan munaqid karwaya guzashta saal tak CBSE usay munaqqid karta tha .

CBSE board ke secretary reh chuke MR Joshi ney kaha ke jab se National Testing Agency qaim hui hai, Medical, Engineering aur Managment se lekar net waghera ke imtehanat hum munaqid karwarahe hain aur hum ney aik aisa software tayyar karwaya hai jis se sawal nama ab afsha nahi honge. imthehaan shuru honay ke theek pehlay hamaray control room se hi paas word diya jayega jis se sawal nama ka pata chal sakayga aur is ki online Monitoring bhi hogi taakay kahin koi iska ghalat istemaal to nahi kar raha hai. pehlay mumtahin ko sawal nama pehlay mil jatay they ab har tareeqa kar khatam kar diya gaya hai. imtehanat mein be zabtgyon ko roknay ke liye, tamam imthehaan marakaz par har shift mein teen hazaar Jammer bhi lagaye gay taakay kisi taalib ilm ko bahar se kisi tarha ki maloomat nah mil sakay. is ke alawa tamam imthehaan marakaz par CCTV camera to lagaye gay hi hain balkay unka live Streaming yani barah e raast nashriyat bhi Kiya gaya taakay kisi tarha ki rukawat honay par pata chal sakay .

Imtehaan ke kamyaab ineqad ke liye 30 state coordinator 263 city coordinator aur 593 supervisor bhi muqarrar kiye gay they taakay Imtehanat mein kisi tarha ki be zaabtgi nah ho. Noida mein waqay control room  ney bhi nigrani ki. is tarha ab NTA ki taraf se imtehanat karwaye jaane ko Full proof bana diya gaya hai. Online test se ek ek  cheez ki record  hoti hai, taalib-e-ilm ko sawal nama kab mila, kab is ney khatam kya, agar koi technical kharabi aati hai to is ka bhi record rehta hai, is liye usay izafi waqt bhi diya ja sakta hai. online se waqt par jald nataij aa rahay hain. . hum ney 20 din se pehlay hi taqreeban 9 laakh taalib-e-ilmoon ke papers ki jaanch karkay nataij ka elaan kardiye .- YTN STAFF