Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaNRP ke sawalname ki fehrist se PAN Card ki maloomat ko hata...

NRP ke sawalname ki fehrist se PAN Card ki maloomat ko hata diya gaya

New Delhi: Qaumi population register ( NRP ) 2020 ke douran pochay jaanay walay PAN card ki tafseelaat ko hatmi practice ke liye tayyar kiye jaanay walay sawalnamoun ki fehrist se hata diya gaya hai aur ”Madri zabaan“ ke barey mein maloomat ke husool ke liye ek naya sawal shaamil kiya gaya hai. Wizarat dakhla ke zaraye ne ye bat bataaye.

Hindustan ke registrar general ( RGI ) ne ye faisla 12 August aur 30 September 2019 ke mabain ki jaanay wali ek mashq ke douran ginti karne waloun ko PAN card ki tafseelaat batatay hue hichkichahat ka muzahira karte hue dekhnay ke baad liya hai.

RGI wizarat dakhla ke tehat ek nodal agency hai, Jo rawan saal yakam April se 30 September ke darmain te shuda mardum shumari 2021 ke pehlay marhale sath sath NRP 2020 ka ineqad keregi. Is zimn mein ek ohdedar ne bataya” logoun ko pareshani se bachanay aur is saaray amal ko aasani se har ek ke liye qabil qubool bananay ke liye, PAN card ki tafseelaat talabb karne walay sawal ko hataane ka faisla kiya gaya hai. Taham, Maadri zabaan se mutaliq ek naya sawal NRP ke liye sawalia nishaan ke tor par darj kiya gaya hai“.

Taham, Deegar sawalaat jin mein mobile number, Aadhaar number, Voter shanakhti card number, Driving licence number, Tareekh paidaiesh, paidaiesh ki jagah, Rehaishi aakhri jagah aur walidain ka naam aur deegar shaamil hain is fehrist mein bar qarar rahen ge. Ohdedar ne bataya ke Aadhaar, Voter shanakhti card, Driving licence aur mobile number ki tafseelaat ”Razakarana“ hain kisi ko bhi ghalat maloomat dainay par saza dainay ka intizam hai.

ohdedar ne bataya ke takreban, 17-18 salawoun ki hatmi fehrist, Jisay NRP form mein shaamil kiye jaanay ka imkaan hai, Usay abhi tak te nahi kiya gaya hai, Aur RGI ki janib se badi mashq ki suruwat se thek pehlay mazeed bad lao kiye jasakte hain. Ek sawal ke jawab mein, Ohdedar ne kaha ke’ hatmi NRP ke swalname ke barey mein Notification jari karna zurori nahi hai.

NRP se mutaliq, Mutadid tabqo ki tanqeed ka saamna karna pada, Jin mein siyasi jamaten bhi shaamil hain, Jinhoun ne ye ilzaam lagaya ke, Ye amal national register of station ( NRC ) ki tayari ke liye pehla qadam hai. Ohdedar ne bataya ke sab se pehlay is ki mashq 30 lakh logoun par ki gayi, Jis mein 5,000 se zayed Blocks aur mulk bhar ke 73 azlaa ka yehata kiya gaya hai. Ohdedar ne bataya ke 80 feesad se ziyada logoun ne NRP 2020 mashq ke douran apne Aadhaar ki tafseelaat share kiye.

Un khabroun ke darmain ke mutadid reyastoun ne NRP ki mukhalifat karne ka faisla kiya hai, Ohdedar ne kaha ke tamam reyastoun aur markazi ilaaqoun ne NRP ke amal ko tabdeel kar diya hai aur un mein bohat se logoun ne apni reyastoun mein mashq karne ki tareekhen te ki hain. Maghribi Bengal, Aadhra Pradesh, Telangana, Ladahk aur Puducherry  45 din ke schedule ka elaan karne ke marhale mein hain, Jab wo NRP ki mashq karenge.

Ek aur ohdedar ne bataya ke ”2010 mein 30 crore afraad ki ”Biometric“ tasfesalat ligayeen aur un ku Unique Identification Authority of India ( UIDAI ) ke sath share kiya gaya, Jis mein 27 crore 12 hindsay ka Aadhaar number tayyar kiya gaya, Lekin is baar is baar aisa nahi kiya ja raha hai. 2016 mein ek makhsoos tareekh ke baad, RGI ke zareya Biometric tafseelaat jama nahi ki gayen. Is baar NRP mashq ke douran koi Biometric nahi hoga aur nah hi koi kaghaz poocha jaye ga“.

Is waqt ke wazeer aazam Manmohan Singh ki zair qayadat UPI hukoomat ne NRP ki shuruvaat 2010 mein ki thi, Jo mardum shumari 2011 se agay thi. Aur pilot project ki tayari 2 saal qabal shuru hui thi, Jab Shivraj Patil ( 22 May 2004 se 30 November 2008 )

Aur P Chidambaram  ( 30 November 2008 se 31 July 2012 ) tak wazeer e dakhla they.

26 November 2008 ko Mumbai mein dehshat gardi hamle ke baad, Markaz ne 9 samandari reyastoun aur 4 markazi ilaaqoun ke sahili ilaaqoun mein 2011 ki mardum shumari se qabal NRP bananay ka faisla kiya. Taham, Modi hukoomat ne wazeh kiya hai ke’ NRP, NRC ke mabain koi rabita nahi hai“. -YTN STAFF