New Delhi : Delhi ke wazeer-e-aala Arvind Kejriwal ke NRC se mutaliq diye gaye bayan par BJP ke karkunaan unke ghar ke samnay ehtijaj kar rahay hain.
Arvind Kejriwal ne ek press conference ke douran apne bayan mein NRC se mutaliq Arvind Kejriwal ne kaha tha ke agar Delhi mein NRC ka nifaz hua, to BJP ke rukan-e-parliament Manoj Tiwari ko pehlay shehar chodhna padega.
Kejriwal ke is bayan ke jawab mein Manoj Tiwari ne kaha ke ”Arvind Kejriwal apna zehni tawazun kho chuke hain. aur kaha ke ”jo log doosri reyaston se Delhi mein abad hain, aap inhen ghair mulki maan rahay ho? agar aap inhen Delhi se nikalna chahtay hain to aap bhi un mein se ek hain.
Batadein ke Manoj Tiwari mutadid mawaqay par mutalba karte rahay hain ke assam ki tarhan Delhi mein bhi NRC nafiz kiya jana chahiye. guzishta mah unhon ne kaha tha ke Bangladeshi aur rohingya sameit ghair qanooni tarkin watan ki ek badi tadaad ki mojoodgi ki wajah se Delhi mein sorat-e-haal ”khatarnak hogayi hai, kyunkay woh mujremana sar garmion mein mulawis paye gaye hain.
Media ki janib se Kejriwal ko Delhi mein NRC ke nifaz se mutaliq sawal poochay jaaney ke baad Kejriwal ne jawab dete hue Manoj Tiwari ko nishana banaya tha. Kejriwal ke Manoj Tiwari par diye gaye bayan ke khilaaf BJP kaarkunon ne Kejriwal ke ghar ke samnay ehtijaj kar rahay hain. –YTN STAFF