Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaNRC se awam mein zehni amraaz bhedne lagey

NRC se awam mein zehni amraaz bhedne lagey

Mumbai: Khauf ki wajah se ensaan ka zehan behtar andaaz mein kaam karna chodh deta hai aur apni salahiyatoun ke mutabiq wo faislay bhi nahi le paata hai aur is waqt Hindustan ke darjanoun khandan aisay hain jo kay NRC ki wajah se khauf mai mubtala hai aur mahireen nafsiat ne intibah diya hai ke is khauf ki wajah se zehni amraaz mein izafah ho raha hai.

NRC aur shehri tarmeemi bill ke khilaaf jahan mulk bhar mein ehtijaj ho rahay hain, Wahein is ke khauf se nafsiati amraaz mein bhi izafah horaha hai un khayalat ka izhaar Mumbai ke maahir nafsiat aur maaljin ne kiya hai. Jabkay muslim ilaqoun mein sajney wali raat jagay ki mahfel, Chaye khaanoon aur deegar maqamat par sirf NRC hi mauzo behas bana huva hai.

Maahir nafsiyat Dr. Sajid Khan ne kaha ke guzashta chand dinoun se un ke paas aisay mareezoun ki ek badi tadaad aayi hai jo NRC ke khauf se Depration aur Blood Pressure ka shikaar horahay hain aur ek aisa anjaana khauf un mein samaya huva hai jis ka ilaaj is waqt mumkin hai jab sarkari satah par is baat ki tasdeeq nahi ho paati ke NRC ke naam par inhen mulk se be dakhal nahi kiya jaye ga. Dr. Sajid Khan ne kaha ke un ke paas NRC ko leker jitne mareez ab tak aaye they wo tamam ke tamam mutwast tabqaat se talluq rakhtay they aur aksariyat ka talluq musalmanoun se hai.

Homeopathic mualij Dr Anwar Ameer Ansari jo nafsiat dekh kar duwaein tashkez karte hain unhoun ne kaha ke Homeopathic ka nafsiat se bada gehra talluq hai aur yahi wajah hai ke nafsiati amraaz mein mubtala afraad ke liye Homeopathy ki duwaein kargar saabit hoti hain. Unhoun ne kaha ke guzashta chaar paanch dinoun se un ke paas nafsiati amraaz ke jo mareez aa rahay hain un par NRC ka ek khauf taari hai aur ziyada tar afraad ki yahi shikayat hai ke agar hamein mulk chhodna pada to hamara mustaqbil tareek hojaye ga aur hum jayen ge kahan. Dr. Anwar Ameer ne kaha ke guzashta dinoun Maharashtra ke Chief Minister Uddhav Thackeray ne jab Maharashtra mein NRC nafiz karne se inkaar kar diya tha to aisay mareezoun ki haalat pehlay se ab-tar hoti nazar aa rahi hai aur ab aisa loog reha hai ke umeed ki ek kiran un ke marz ko khatam karne ke liye jaag uthi hai.

MD ki taliba Maharashtra Health University ki Gold Midelist Dr Maria Ansari ne kaha ke un ke paas bhi shehri tarmeemi bil aur NRC ke khauf ki wajah se mareezoun ki ek badi tadaad aa rahi hai neez un ki Counseling ki jarahi hai lekin is ke bawajood bhi un mein ye khauf ab bhi samaya hai ke agar NRC nafiz hogaya to un ka mulk mein mustaqbil kiya hoga.

Muslim mehloon aur ilaaqoun mein raat din chahay wo chaye ki dokaan hova Paan ki dokaan ho NRC ko leker hi terhan terhan ki battein ki jati hain. Isi darmain Nagapada mein rahaish pazeer 1 shakhs jo ghair taleem yafta hai is ka naam Aslam Qureshi hai lekin subah o shaam wo NRC ke talluq se baat karta hai jis ke sabab usay loog Aslam NRC ke naam se pukarnay lagey hain.

Ye sirf Maharashtra ka haal hai jabkay Hindustan ke deegar ilaaqoun ka manazair kuch mukhtalif nahi kyunkay jahan awam NRC ki wajah se khauf hai to doosri janib is mutanazia qanoon ke khilaaf ehtijaj mein shirkat ke baad police aur intizamia ka jo soutela sulooq hai is ne bhi awam mein mayoosi aur badhami ko parwan charhaya hai. NRC ke khauf se khud ko mehfooz rakhnay ke liye jahan awam mahireen nafsiat se rujoo ho rahay hain wahein mukhtalif ilaaqoun mein dastawizaat ki tayari mein kayi gina izafah huwa hai. –YTN STAFF