Sunday, May 19, 2024
HomeExclusiveNRC ke khilaaf Muslamanoun ko Civil nafarmani tehreek shuru karne ka mashwara

NRC ke khilaaf Muslamanoun ko Civil nafarmani tehreek shuru karne ka mashwara

Hyderabad: In dinoun akhbarat aur TV channels par NRC ka mauzu kaafi garma-garam hai aur khaas kar is muamlay se Hindustan ke musalman kaafi pareshan hai halaanke NRC ke Hindustan bhar mein nifaz ki abhi sirf batein ho rahee hain lekin khauf wo hiraas ka mahol aaye din kaafi tashweesh naak ho raha hai halaanke kayi danishwaron ki janib se NRC ke liye apne dastawizaat ki tayari ke bar-aks iske khilaaf saraapaa ehtijaj ban’nay ke liye awam ko sadkoun par utarney aanay ka mashwara diya jaraha hai aur ab to is mutanazia NRC ke khilaaf Gandhi-yana tarz andaaz ikhtiyar karne ki baat shiddat ke sath uthai jarahi hai.

NRC ke khilaaf Gandhi ke bataye hue rastay ko ikhtiyar karne ki baat ki jarahi hai jis Tarha Hindustan ki jung-e-azaadi mein Gandhi jee ney angrezoun ke khilaaf Civil nafarmani ki tehreek chalaye thi isi Tarha ab BJP hukoomat ki is NRC saazish ke khilaaf Muslamanoun ko Civil nafarmani ki tehreek ka Mashwara diya ja raha hai.

Wazeer-e-dakhla Amit Shah ney parliament mein 2019 ke intikhabaat ke douran sab se pehlay ye wada dohraya ke mulk bhar mein shehriat ka imtehaan liya jayega. unhon ney is baat par bhi zor diya ke shehrion ke qaumi register ka amal shehriat ( tarmeemi ) bill ke tehat hoga. yeh bill is baat ko yakheeni banata hai ke Hindu, sikh, isaai, Budh mat, jain aur parsi jo bhi hon siwaye musalman ke sab ko ghair qanooni tarikeen-e-watan honay ka ilzaam aaed nahi kiya jasakta hai agarchay wo kaghzat ke baghair Hindustan mein daakhil hue hain. Amit Shah ney 2019 ke intikhabaat ke baad se zor dey kar ye bayan kiya hai ke is baat ko yakheeni banaye ke chunkay shehriat ( tarmeemi ) bill NRC se pehlay hoga dar haqeeqat NRC ka itlaq sirf Muslamanoun par hoga. Hindustan ki Muslamanoun ki abadi 170 million se ziyada hai. Ek aisi tadaad jo khud duniya ka sab se ziyada abadi wala mulk hai. logon ki itni badi jamaat ki shehriat ki jaanch padtaal ka amal duniya mein kahin bhi ghair mamooli hai. mulk bhar mein NRC nah sirf secular Hindustan ke wujood ko dafan karega balkay is se mulk ke istehkaam ko shadeed khatrah hoga.

Khauf se boycott Tak
Is khatray se do-char, bohat saaray Muslamanoun ney khauf wo hraas ka izhaar kiya hai. Mulk bhar mein musalman aisi dastawizaat jama kar rahay hain jo unki shehriat saabit karenge. maghribi bangal ney khudkushiyon ko dekha hai jo ek NRC ke khauf se munsalik hain. NRC ka jo ibtidayi marhala Assam mein horahi is ke paish-e-nazar mulk bhar mein NRC tabahi ka baais banayga lehaza NRC ke khilaaf Gandhi-yai shehri nafarmani ko badhhawa denay ka muslim halqoun mein ek khayaal bhi samnay aaya hai. NRC ke naam par Hindustan ke Takhreeban 200 million Muslamanoun ko nishana bananay ki koshish ki jarahi hai is liye is ka boycott maang ki jarahi hai taakay iske asr ko khatam kiya jasakay.

NRC ko firqa-waranah tor par istemaal kiya jaaney wala aala-car banaya jaraha hai aur bohat se logoun ney istadlaal kiya ke ye nek niyati se shehriat ki jaanch nahi hai balkay Muslamanoun ko nishana bananay ka ek asaan tareeqa hai. Bohat se ghareeb Muslamanoun ke liye jinke paas khanay ke liye kaafi miqdaar mein khwaraak Tak nahi hai woh dastawizaat ko kaisay yakheeni bana sakte hain. sabiq IAS officer ney ye Mashwara diya hai ke dastawizaat ki talaash mein ghabranay ki bajaye Hindustan ke shehrion ko sadkon par utarna chahiye aur is baat ko yakheeni banana chahiye ke NRC mansoobah wapas liya jaye.

Assam NRC se paeda honay walay qanooni mamlaat ka qareeb se mutalea karne walay Guhati mein muqeem Amaan ney gopinath ke is nuqta nazar ki bhi himayat ki aur Muslamanoun par zor diya ke woh ehtijaj karen. Gandhi tarz ke ehtijaj mein sirf Muslamanoun ko nahi balkay boycott mein hinduo ko bhi shaamil honay ke liye bhi social media par mutalibaat samnay aaye hain. is maslay ney 1 laakh se ziyada sarfeen ke sath NRC movement Nami Facebook safha ko bhi janam diya hai.

Hirasti marakiz hukoomat ke gilaay hi haddi ban’nay lagi
Assam mein NRC ke baad jo log is saazish ko khel ka zareya bana rahay they ab wo khud hi is khel ka hissa ban gaye hain kyunkay NRC mein jin lakhoun afraad ka naam shaamil nahi hain unke liye hirasti marakiz bananay ka elaan kiya gaya hai lekin ye hirasati marakiz koi Jail nahi honge balkay jin afraad ke naam register mein shaamil nahi hain unke liye un marakiz mein rehaishi intizamaa, schools, dawakhane aur deegar bunyadi zaroriat faraham karne padinge.

BJP hukoomat aur iski hum khayaal jamaaton ne NRC ke naam par bottle se jis jin ko bahar nikala hai ab wo jin Unka aaqa bantaa jaraha hai kyunkay NRC ke baad hirasti marakiz ka masla hukoomat aur intizamia ke liye galey ki haddi ban gaya hai jo na nigla jaraha aur na hi ugla jaraha hai. NRC ke ibtidayi marhalay mein 19 laakh afraad aise hain jo shehriat saabit karne mein nakaam hue hain lehaza ab un 19 laakh afraad ke liye hirasati marakiz qaim kiye jarahay hain lekin ek markaz mein kitney afraad ke rehaishi intizamaa aur qiyam vo ta’am ki sahoolat hogi ye masla ahem ban chuke hain kyunkay ek hirasati markaz mein sirf 3 hazaar afraad ko rehaish faraham ki ja sakti hai aur ek markaz ko tayyar karne ke liye hukoomat aur intezamia ko 46 crore rupiye ke masarif bardasht karne padh rahe hain.

Assam ki reyasti aur Hindustan ki markazi hukoomat ko shehriat ke registration mein apna naam shaamil karwane mein nakaam 19 laakh afraad ke liye hirasati marakiz ka qiyam bohat hi paicheeda masla ban chuka hai kyunkay ek markaz par 46 crore ke masarif bardasht karne ke bajod is mein sirf 3 hazaar afraad ko rakha jasakta hai to andaza kijiye ke 19 laakh afraad ke liye kitney hirasati marakiz ki zaroorat hai aur is is par hukoomatoun ko kitna paisa kharch karne padega? –YTN STAFF