Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaNRC ke khilaaf Jail bharo ehtijaj shuru kiya jaye: Mahmood

NRC ke khilaaf Jail bharo ehtijaj shuru kiya jaye: Mahmood

New Delhi: Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ), National Population Registration ( NPR ), National Register Of Citizenship ( NRC ) ke khilaaf qaumi satah par Jail bharo ehtijaj shuru kiya jaye ga. Supreme Court ke maroof wakeel Mahmood Paracha ne ye baat kahi hai. Mahmood Paracha nai Delhi ke Abu Al Fazal mein waqay Masjid Shaan-e- Allahi mein munaqidah ek ijlaas aam se khitaab kar rahay they. Mahmood Paracha ne kaha ke shehriat tarmeemi qanoon, NPR aur NRC ke khilaaf jari ehtajaji muzahiroun ko nayi jahat bakhsnay ki khatir ab mulk geer satah par Jail bharo ehtijaj shuru kiya jana chahiye. Unhoun ne kaha ke Jail bharo ehtijaj ko kamyaab bananay ke liye har ek Masjid Committee ke tehat ek aur Committee tashkeel di jani chahiye aur NPR ke andaraj karne ke liye anay walay sarkari mulazmeen se ye Committee sawal o jawab karegi aur zaroorat padney par ye Committee ke arkaan ijtimai toar par Jail bharo ehtijaj karainge. Mahmood paracha ne kaha ke dastoor hind mein diye gaye jamhoori hoqooq ka istemaal karte huve ek munazzam andaaz mein Jail bharo ehtijaj ko kamyaab banaya jana chahiye.

Masjid Shaan-e-Ellahi mein khitaab ke douran Mahmood Paracha ne kaha ke kisi bhi mohalla mein NPR ke indraaj karne ke liye anay walay afraad ko shehryan Masjid ko bhaij den aur Masajid ke Committee sarkari mulazmeen se baat karkay inhen batayen ke awam NPR ke tehat apni koi bhi tafseel faraham nahi karainge. Mahmood Paracha ne kaha kay NPR ka ijtimai Boycott karte huve markazi hukoomat ke mansooboun ko nakaam banaya jasakta hai. Unhoun ne kaha ke NPR mai tafseelaat faraham karne aur dastawizaat dainay ke baad bawajood bhi pasmandah tabqaat, Qabaili tabqaat aur musalmanoun ki shehriat barqarar nahi rahay gi. Is liye awam ko chahiye ke wo ijtimai tour par NPR ku Boycott karen. Mahmood Paracha ne kaha ke mulk ki mukhtalif reyastoun mein ilaqai siyasi jamaatoun ne NPR ki mukhalifat karne ka faisla kiya hai isi liye un reyastoun ke awam bhi NPR ka Boycott karen ge aur NPR ku Boycott karne par kisi ke khilaaf bhi koi karwai nahi ki ja sakti hai.

Mahmood Paracha ne kaha ke kisi bhi ensaan ko peda hotay hi shehriat mil jati hai aur paidaiesh ke baad kisi bhi ensaan ko shehriat saabit karne ki koi zaroorat nahi rehti hai. Unhoun ne kaha ke na to hukoomat kisi ko shehriat day sakti aur na le sakti hai kyon ke peda honay ke sath hi ensaan ko mulk ki shehriat mil jati hai aur hukoomat ko kisi se bhi shehriat poochnay ka ikhtiyar haasil nahi hai. Mahmood Paracha ne mazeed kaha ke Supreme Court ki nigrani mein honay walay Assam NRC se jin afraad ke naam kharij kiye gaye hain wo na to Bangladeshi aur na dar andaaz hain balkay wo Bengal ke shehri hai. Unhoun ne kaha ke NRC ko nakam hota dekh hukoomat ne shehriat tarmeemi qanoon ko muta-arif karwaya hai. Shehriat tarmeemi qanoon ke zareya Hindoun, Dalitoun aur pasmandah tabqaat ko dhoka deya jaraha hai ke inhen NRC mein naam shaamil nahi honay par bhi shehriat di jaegi jabkay shehriat tarmeemi qanoon ke tehat mulk ke aisay qareeb Hindoun, Dalit, aur pasmandah tabqaat ko ye saabit karna hoga ke wo Hindustani shehri nahi balkay Pakistan, Afghanistan, Bangladesh se drandazi karkay Hindustan mein daakhil huve hain.

Mahmood Paracha ne kaha ke NPR ke Boycott karne ke liye sab ko ek sath anay ki zaroorat hai. Unhoun ne kaha ke shehriat tarmeemi qanoon, NRC aur NPR se honay walay nuqsaan se Hindoun ko waaqif karwaya jana chahiye. Unhoun ne kaha ke shehriat tarmeemi qanoon ke mukhalifat mein ehtijaj karne par Lucknow semet Uttar Pradesh ke degar sheroun mein Yogi hukoomat ki janib se musalmanoun par zulm o barbariyat ka muzahira kiya gaya hai aur Delhi mein Police ki la parwahi se halaat ko kharab kiya gaya hai. Qanooni jad-o-jehad karte huve markazi wazeer e dakhla Amit Shah aur Uttar Pradesh ke Chief Minister Yogi Adityanath ko Jail bhejnay ki tayari ki jarahi hai. Unhoun ne kaha ke shehriat tarmeemi qanoon, NRC aur NPR ke khilaaf asal jung Uttar Pradesh mein hogi aur isliye Uttar Pradesh ke tamam ilaaqoun mein awam mein shaoor beedar karne ki koshishen ki jarahi hai. –YTN STAFF