Monday, May 20, 2024
HomeIndiaNRC ka badhta toofan, Musalmanoun mein khauf ki lehar

NRC ka badhta toofan, Musalmanoun mein khauf ki lehar

Hyderabad : Haliya dinoun mein door door se garaj aur chamaknay ki aawazein aarahi theen lekin ab yeh aawazen ek bhayanak Toofan mein tabdeel ho-chuki hain jo bil-akhir Hindustan ko tabah karsakta hai. yeh Toofan kuch aur nahi balkay shehriat se mutaliq qawaneen mein tarmeem karne ka ek nazriya hai jo BJP Hindustan mein nafiz karna chahti hai aur is ke zareya sirf makhsoos mazhab ke maan-ne waloun ko Hindustan mein apni shehriat saabit karni hogi.

Shehriat bill ko BJP ne 2019 ke intikhabi muhim mein Assam mein zor wo shor se istemaal kiya tha aur yeh tasawwur kiya ja raha tha ke shayad intikhabaat mein kamyabi ke baad hukoomat ka yeh naara barf-daan ki Nazar hojayega lekin intikhabaat mein kamyabi ke baad assam ke alawa deegar reyaston mein bhi national register of citizen ship ( NRC ) ko wusat denay ki baat ki jarahi hai aur hukoomat ko poora yaqeen hai ke woh is maqsad ko paye takmeel tak pohanchayegi.

Ibteda may usay sirf intikhabi muhim ke liye istemaal kiya jaaane wala hath-kandah tasawwur kiya jaraha tha lekin ab sab par ayaan hochuka hai ke shehriat tarmeemi bill ( CAB ) aur NRC dono ko muta-arif karwane mein BJP aur is ki Haleef jamaten pur-azm hain.

Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne parliment mein wazeh kardiya hai ke hindustani sarzamen ke har murabba inch se har dar andaaz ko Hindustan badar kiya jayega aur hukoomat apne is maqsad ko poora karne ke liye pur-azm hai.

Is ke alawa reyaston ko bhi hidaayat dedi gayi hai ke woh ghair mulkion ke liye hirasti marakaz tayyar karen aur is tarhan reyaston ke mafadaat ke tahaffuz ke liye CAB ko yakheeni bananay ke liye apne azm ki tasdeeq karen.

Yahi nahi balkay shumal mashriq reyaston ke cheif ministers aur qaideen ne NRC ko apni reyaston mein nafiz karne ka bhi mutalba kiya. hukoomat jahan NRC aur deegar is tarha ke qawaneen pesh karne ke liye pur-azm hai to doosri janib RSS ke Mohan Bhagwat ne hinduo ko yaqeen dilaya hai ke NRC ke zareya inhen kisi tarha ka koi nuqsaan nahi pohanchaya jayega, jiska wazeh matlab hai ke bengal, bihar aur uttar pardesh ke alawa unn ilaaqon mein Musalmanoun ke liye halaat mushkil hojaienge.

Un halaat ke pesh-e-nazar mazkoorah reyaston ke muslim bashindoun mein khauf wo haraas ka mahol paaya jaraha hai. log shiddat se pooch rahay hain ke hindustani shehriat saabit karne ke liye kin dastawizaat ka saboot dena hoga aur kin dastawizaat ki zaroorat hogi aur jo log dastawizaat saabit karne mein nakaam hotay hain to unke liye nataij kiya honge. is muamlay par hukoomat aur hukmuran koi wazeh rehnumaiyana usool saabit nahi kar rahay hain balkay khauf wo hiraas ka mahol mazeed gehra kar rahay hain jiski wajah se tajassus aur uljan din bah din badh rahi hai. yahan tak ke Hindustan ke dar-ul-hakoomat Dehli ke bhi hazaron be-ghar afraad jo ke musalman hain, yeh poochnay par majboor hain ke hamara mustaqbil kiya hoga? kyunkay unke paas koi dastawizaat nahi hain. is liye bhi uljan payi jarahi hai kyunkay jo shehriat saabit karne ke liye apne dastawizaat pesh nahi kar saktay, un mein sirf Musalmanoun ke sath hi sakht rawayya ikhtiyar kiya jaraha hai.

Azaadi ke baad 40 barson tak yani 1987 tak Hindustan mein paeda honay wala koi bhi shakhs hindustani shehri samjha jata hai lekin 1987 may qanoon mein tarmeem ki gayi jiske baad kisi shakhs ke maa ya baap ka hindustani hona is ki shehriat ke liye zurori tasawwur kiya jaaane laga. jabkay 2003 may koi shakhs sirf isi soorat mein hindustani shehri bansakta hai jab iske walidain hindustani hon, nah ke un dono mein koi ek ghairqanooni tarikeen watan ho.

Shehriat qanoon mein vaqtan fawaqtan ki jane wali tarameem se Musalmanoun mein ek qisam ka khauf paaya jaraha hai. is tarmeem ka bunyadi maqsad yeh samajh mein aata hai ke NRC ka Musalmanoun ke alawa dusray logon par koi asar nahi padega kyunkay baqi tamam mazahab ke maan-ne walay afraad hindustani shehriat ke ahal honge yahan tak ke agar woh dastawizaat pesh karne mein kamyaab nah hosakay to bhi inhen masail ka saamna karna nahi padega.

Musalmanoun mein yeh uljan bhi payi jati hai ke az khud shehri ban’nay ke liye konse saal tak ki paidaiesh qabil-e-qubool hai jis mein koi kehta hai ke 1947 koi kehta hai ke 1951 aur koi kehta hai ke 1971 lekin haqeeqat mein 1987 ka ek aisa hindsa hai jiske sath qanoon munsalik hai. NRC aur CAB ke baad amli tor par yeh baat taye hogi ke jo afraad apni shehriat saabit karne mein nakaam honge is ke alawa unke aaba wo ajdaad qanooni tor par Hindustan mein daakhil honay ya phir woh ghair qanooni tor par Hindustan mein sukoonat ikhtiyar karne jaisay sawalaat lag jayenge.

Supreme Court ne pehlay hi shehriat saabit karne ke liye paidaiesh ka sadaqat-nama, zameen ki malkiat ya raye dahandgi ke haq ko saabit karne walay dastawizaat ko bunyaad banaya hai aur inhen apni shehriat saabit karne ka mauqa denay ka faisla kiya hai, lekin iske bawajood intahi ghareeb aur kamzor tabqa aur pasmandah ilaaqon ke shehrion ko aisay dastawizaat ka pesh karna intahi mushkil kaam hai. is muamlay ko mazeed paicheeda karne ke liye Amit Shah ke matehat deegar wazra ne har reyasti hukoomat yahan tak ke zilai magistrate ko mutala kiya hai ke woh ghair mulkion ke Turbulence qaim karne, apne tareeqa-car aur saboot ke mayarat ko tarteeb dainay ka tareeqa-car ikhtiyar karen.

Markazi hukoomat pur-azm hai ke woh Rajya sabha mein CAB ko kamyaab karwalegi jis ke zareya usay qoum ko taqseem karne ka jo nazriya hai, usay nafiz karne mein aasani hogi aur iska raast asar Musalmanoun par padega jinhein masaaib mein mubtala karte hue khud Hindustan mein inhen berooni shehri saabit kiya jayega.

Mahatma Gandhi, BR ambedkar, Jawaharlal nehru aur moulana azad se hindustaniyoun ko jo mulk wirasat mein mila tha, woh ek aisa mulk hai jahan haq masawaat ko pehli tarjeeh di gayi thi, bhalay hi woh kisi bhi mazhab ya kisi bhi devta ki parastish kyun nah karta hon lekin 100 saal pehlay hindu maha sabha aur 1925 may RSS ne jis Hindustan ka tasawwur diya, woh ek aisa mulk hai jis mein hindu raj karenge aur inhen ka ghalba hoga.

Yeh ek aisa mulk hoga jis mein Musalmanoun ko mulk badar kardiya jayega ya phir inhen dosray darjah ke shehri ki haesiyat se rehne par majboor kardiya jayega. mojooda hukoomat ko ab yeh yaqeen honay laga hai ke 100 saal pehlay unhon ne jis Hindustan ka khawab dekha tha ab usay haasil karne ka waqt agaya hai. CAB ke baad pooray mulk mein NRC ko nafiz karte hue sirf Musalmanoun ko apni shehriat saabit karne par majboor kiya jayega jis se lakhoun Musalmanoun mein mulk badar honay aur deegar masaaib mein mubtala honay ka khauf badh raha hai. –YTN STAFF