Ayodhya : BJP ke senior rehnuma subramanian swamy ne daawa kiya hai ke ayodhya mein Ram mandir ki taamer ka kaam November ke baad shuru hojayega.
Unhon ne yeh bhi bataya ke Ram janam bhoomi, babri masjid case se mutaliq samaat karne wali supreme court ka faisla Ram mandir ke haq mein aayega. subramanian -swamy jo ayodhya ke do roza doura par they, unhon ne mazeed kaha ke pooja ka haq ek bunyadi haq hai, usay koi nahi cheen sakta.
BJP rehnuma ke yeh remarks NDA ke Haleef Shiv sena ke sarbarah Uday thackrey ki janib se wazeer Azam Narendra Modi ki qiyadat wali markazi hukoomat ki janib se Ayodhya mein azeem-ul-shan mandir ki taamer mein taizi laane ke liye iqdaam kiye janay ki maang ke kuch dinon baad aaya hai.
Shiv sena ke sarbarah ne kaha tha ke jammu wo Kashmir ko khusoosi haesiyat dainay walay Article 370 ko mansookh karne ke sath hi modi hukoomat ke zareya ab Ram mandir ki taamer aur eksan civil code ko muta-arif karne ka waqt agaya hai. –YTN STAFF