Saturday, May 10, 2025
HomeSliderNoujawanoo ko UAE ka muft Visa

Noujawanoo ko UAE ka muft Visa

Dubai: United Arab Emirates (UAE) ney 18 saal ya is se kam Umar noujawanon ke liye muft visa policy muta-arif karadi. Ab duniya bhar ke woh Noujawan jin ki Umar 18 saal ya is se kam hai woh Visa fees ki adaigi ke baghair United Arab Emirates ja satke hain. Khaleej Times ke mutabiq Noujawanon ya na baligh afraad ke liye muft Visa Policy ki muddat 2 mah tak jari rahay gi aur duniya ke tamam Mumalik ke afraad is se sahoolat haasil kar saken ge. Policy ke tehat 15 July taa 15 September tak duniya bhar ke 18 baras ya is se kam Umar ke noujawanon ko mutahidda Arab Emirates ka Visa haasil karne ke liye koi fees ada nahi karni pade gi. Hakumati Policy ke tehat is arsay ke douran anay walay kam Umar afraad ko muft visit Visa faraham kiya jaye ga.

Is policy se nah sirf tanha mutahidda United Arab Emirates ka dora karne walay kam Umar afraad faida haasil kar saken ge balkay woh khandan bhi istifada haasil kar saken ge jo UAE ka dora karna chahtay hain aur un ke afraad mein 18 saal se kam Umar noujawan mojood hain, is policy ke tehat 18 saal ya is se kam Umar fard ki Visa fees ada nahi karni pade gi. Hukumat ney har saal 2 mah ke liye 18 saal ya is se kam Umar afraad ke liye muft Visa Policy ka elaan 2018 mein kya tha aur rawan baras se is ka itlaq kya ja raha hai. Hukkaam ko tawaqqa hai ke 2 mah ke liye muft Visa Policy se mutahidda United Arab Emirates mein sayahat mein izafah hoga. Khayaal kiya ja raha hai ke garmiyon ke 2 mah mein 18 saal ya is se kam Umar afraad ke liye muft Visa se Pakistan, Hindustan, Sri Lanka, Bangladesh aur deegar qareebi Mumalik se bari tadaad mein log mutahidda United Arab Emirates pohnchain ge.