Saturday, May 4, 2024
HomeLatest NewsNoujawan Al-Saleh , Sudan ki inqalabi tareekh mein naya naam

Noujawan Al-Saleh , Sudan ki inqalabi tareekh mein naya naam

Khartoum: Bar-e-Azam Africa ka Muslim Mulk Sudan in dinon apne siyasi inqilab ki wajah se surkhiyon mein mojood hai jahan hukoomat, fouj aur awam ke darmain aik tassadum ka mahol banahwa hai. Sudan mein hukoomat ke khilaaf fouj safeh aara hochuki hai lekin awam ney fouj ki sarparasti ko bhi maan nye se inkaar kardiya hai lekin un tamam halaat mein aik nojawan ladki ka video vairal huwa hai aur is ladki ko Sudan ki inqalabi quied mana ja raha hai.

Sudan ke wazeer e Difaa ney bhi Mulk mein hukoomat ko be dakhal karne ke baad fouj ki janib se hakoomati intizamiya ko sanbhalne ki tasdeeq ki thi aur kaha tha ke 2 saal ke andar aam intekhabaat karwaye jayen ge. Sudan ki fouj ney Mulk par 30 saal tak hukoomat karne walay saddar Omar Al Bashir ko aik aisay waqt mein girftar karkay hukoomat ke intizamiya sanbhale jab chand din qabal hi aik Sudani ladki ki tasaveer aur videos vairal huwe hain.

Un Videos mein safaid libaas mein malbos nojawan ladki ko logon ke hajhoom se josheelaa khitaab karte huwe dekha ja sakta tha. Videos mein nojawan ladki ko gaari ke oopar khadday hokar porjosh andaaz mein muzahireen se naaray lagwatay bhi dekha ja sakta tha.

Is ladki ki hukoomat mukhalif muzahiron ke douran samnay anay wali tasaveer aur videos vairal honay ke baad Sudan ke baday shehron, khusoosi tor par dar-ul-hakoomat Khartoum mein muzahiron mein nojawanon ki tadad main izafah huwa. Bartanwi media ke mutabiq ibtidayi 2 din tak internet par is ladki ki tasaveer vairal hoti rahen aur usay Sudan ke aik naye Leader ke tor par jana jaaney laga. Is ladki ke hawalay se kuch tafseelaat samnay aa chuki hain, is ney is baat par khushi ka izhaar kya hai ke woh aik nayi siyasi lehar aur nojawanon mein baydaari ka baais banin.

Is ladki ki shanakht 22 sala Ala- Saleh ke tor par huwi hai jo Architecture ki Taliba hain. Ala- Saleh ney kaha ke un ki viral honay wali tasaveer 8 April 2019 ko dar-ul-hakoomat khartom mein honay walay muzahiray ke douran is waqt khenchi gayi theen jab woh muzahiray mein shareek logon ke hajhoom se khitaab kar rahi theen.

Unhon ney bataya ke un ka talluq kisi siyasi gharane se nahi hai, taham woh Sudan mein behtari ke liye sadkon par ayen aur logon ke hajhoom mein shaamil hokar nojawanon ka hosla badhaane lagen. Sath hi unhon ney aitraaf kiya ke un ki tasaveer social media par viral honay ke baad unhon ney muzahireen ko mazeed josh dilwanay ke liye tayari ki aur unhon ney muzahiron ke douran inqalabi shairi padhna aur naaray lagwana shuru kiye.

Agarchay baghaawat mein is ladki ka barah e raast koi kirdaar nahi, taham khayaal kiya ja raha hai ke un ki janib se muzahiron mein noujawan nasal ka josh badhaane ki wajah se fouj ney agay anay ka faisla liya.

30 saal tak hukoomat karne walay Saddar ke khilaaf un muzahiron mein batadreej izafah hota chala gaya aur rawan mah ke aaghaz mein yeh muzahiray pur tashadud ho gaye aur guzashta haftay taq kam se kam muzahiron ke douran 10 afraad ke halaak hojane ki it-tila-aat bhi ayen. Umar Al Bashir ney 1989 se Sudan ka Iqtidaar sanbhala huwa tha.- YTN STAFF