Friday, May 3, 2024
HomeIndiaNote bandi ki teesri saalgirah, Hindustan ki maeeshat aaj bhi pareshan

Note bandi ki teesri saalgirah, Hindustan ki maeeshat aaj bhi pareshan

Hyderabad: Aaj hi ke din 3 saal pehlay Modi hukoomat ne mulk ko mu-ashi badhaali ke rastay par dhakelnay wala faisla kiya tha. Aaj 8 November hai, aaj hi ke din note bandi ka elaan hua tha. Is note bandi ka nateeja ye hai ke mulk 3 saal baad bhi muzir asraat ka saamna kar raha hai aur awam jadd-o-jehad kar rahay hain. kisanoun ki fasal ki qeemat nahi nikal paa-rahi hai, mulazmeen ke liye apni mulazmat bachana mushkil ho raha hai aur karobariyoun ko tijarat jari rakhna mahaal ho raha hai.

Saal 2016 November ki 8 tareekh mulk ki tareekh ka wo din hai jab mulk ne 1 ghalat simt ki taraf qadam badhaye. 3 saal baad hum sab jantay hai ke aaj hum kahan pohanch gaye hai. Wazeer –e-azam Narendra Modi apne mu  khud bol rahay hain ke Unke daur ke pehlay 5 saal barbaad hogaye. lekin is ke liye zimmedaar koi aur nahi wo khud hai. Cashless maeeshat ke unke junoon ne maeeshat ko aisay muqam par pohancha diya ke sambhalne ka koi rasta nazar nahi aaraha.

3 saal pehlay ki apni taqreer mein Wazeer-e-azam ne daawa kiya tha ke note bandi se kala dhan khatam hojayega, dehshat gardi ka safaya hojayega aur naqli note bahar nikal kar aajayenge. lekin hua kiya, kalay dhan ke to deedar nahi hue, naqli note ab bhi hamaray aap ke hathoun mein aajatay hain aur dehshat gardi ke naam par hi to BJP vote mangti rahi hai. jin wadoun aur davoun par note bandi ki gayi thi, woh is sab mein nakaam saabit hui hai.

Note bandi ka jab Elaan hua tha kiya Ameer , kiya Ghareeb, kiya Gaun, kiya shehar, sab ne iska isteqbaal kiya. maana gaya ke is se  Ghareeb aur Ameer sab ek qataar mein aagay. ghareeboun ko laga ke Aala aur Mutwast tabqa ko auqaat dikhadi gayi. lekin 3 saal baad yahi ghareeb sab se ziyada ghamzdaa hain. labour bureau ke adaad wo shumaar batatay hain ke dehi ilaaqon mein mazdooroun ki mazdoori mein honay walay izafay mein 3.4 feesad ki kami hui hai. Zarayi mazdooroun ke liye sharah mehengai kahin ziyada saabit horahi hai.

Note bandi se halaat aisay aagaye hain ke bazar se talab hi khatam ho gayi hai. Gaun mein talab ki haalat aur bhi kharab hai. bachat ki haalat bhi bigadh chuki hai. 2011-2012 ke muqablay gharelu bachat mein 30 feesad se ziyada ki kami aayi hai. talab kam honay ka seedha matlab yahi hai ke log kam kharch kar rahay hain aur is se saaf pata chalta hai ke mulk ki moujooda muashi haalat mulk ki abadi ke badey hissay ko koi faida nahi pohancha rahi hai. UPA hukoomat ke daur mein taqreeban 14 crore log satah gurbat se oopar aaye they aur Mutwast tabqa mein shaamil hue they lekin wo wapas isi daur mein pohanchanay lagey hain.

Nateeja ye hai ke Sarif ki talab mein behad kami hai aur iska asr maeeshat par saaf nazar aaraha hai. sharah taraqqi ki pemaiesh ke tareeqay hukoomat ne badal diye aur usay 7.6 feesad par dikha diya Laikin  3 saal baad SBI ka andaza hi batata hai ke ye 5 feesad se neechay jachuki hai. yani agar hamein aaj se shuru karte hue 2024 tak 5 kharab dollar ki maeeshat ban-na hai to har saal kam-az-kam 8 feesad ki raftaar se taraqqi karni hogi.

Note bandi se jo jhatka laga tha, iska asr saaf nazar aaraha hai. GST khazana Ek laakh crore se neechay aagaya hai. Diwali bhi bazaar mein rounaqe nahi laa payi. sirf  Marvati  mein hi 4.5 feesad ka izafah dekha gaya. lekin auto sector ki baqi companies pareshan hain. Apne siyasi nazriaat  aur  Inselak ke bawajood tajir bhi ab bolnay lagey hain ke aanay wala waqt aur bhi mushkiloun bhara hai.

Badhalli saaf nazar aarahi hai. cover sector ki sharah taraqqi 14 saal ke badter session par 5. 2 feesad par pohanch gayi hai. bijli production tak buray daur mein hai aur iski sharah taraqqi September mah mein 3.7 feesad par pohanch chuki hai. ye dono isharay maeeshat ke zameen-doz honay ke saboot hain.

Is sab ke darmiyan berozgari sab se baday maslay ki shakal mein hamaray samnay khadi hai. Adaad-wo-shumaar batatay hain ke kaam karne Laiq 10 shehriyoun mein se sirf Ek ko hi kaam mil raha hai. roz hazaroun mulazmeen ko ohdoun se bartarf kiya ja raha hai. 2011-2012 se lekar 2017-2018 ke darmiyan taqreeban 90 laakh mulazmeen ke liye rozgaar mein kami aayi hai.

CMIE ke adaad wo shumaar batatay hain ke berozgari ki sharah shehroun mein 8.9 feesad aur Gaon mein 8.3 feesad pohanch chuki hai. Be-rozgari ke mahaaz par mulk ka ye haal 45 saal pehlay tha. Ek khabar ke mutabiq Wazeer-e-azam ne haal hi mein IAS ohdedaron ke ijlaas mein kaha aap ne mere 5 saal barbaad kar diye. mein aap ko aglay 5 saal barbaad nahi karne dunga. shayad Wazeer-e-azam sahih keh rahay hain. lekin bas unhein itna karna hai ke note bandi jaisay faislay lenay se bachein. –YTN STAFF