Monday, May 20, 2024
HomeIndiaNoble inaam Yafta hindustani falsafi Amartya sen ne Modi hukoomat par ki...

Noble inaam Yafta hindustani falsafi Amartya sen ne Modi hukoomat par ki sakht tanqeed

America : Noble inaam Yafta hindustani falsafi wo maahir muashiaat amartya sen ne Hindustan ke wazeer-e-azam Narendra Modi hukoomat par sakht tanqeed karte hue kaha hai ke ”Mulk mein hindu azm ka door doura hai. Kashmir mein sakht marshal law laga hua hai, Narendra Modi RSS, se talluq rakhtay hain, aur hindustani supreme court munqasim hai jo ijtimaiyat ka tahaffuz nahi kar padh rahi hai.

Unhon ne Amrici media numaindon ko interview mein kaha ke hindustani wazeer-e-aazam Narendra Modi intikhabaat jeetne ke baad hindu azm ke farogh mein masroof hain, Kashmir mein Article 370 ko mansookh kiya gaya hai, ab wahan marshal law laga hua hai, aur tashadud ke alawa ghair qanooni hirasatoun ki it-tila-aat hain.

Amartya sen ne Modi hukoomat ke ghair qanooni iqdamaat par tanqeed karte hue kaha ke mulk mein aaj kal har cheez par hindutwa ki soch ghalib hai, sadar, wazeer-e-aazam aur poori qayadat hindu hai, guzashta saloun mein Hindustan mein muslaman sadar aur sukh wazeer-e-aazam bhi reh chuka hai.

Unhon ne kaha ke aaj musalmanoun ko gosht khane  par nishana baneya jaraha hai, jabkay purani sansikrat ki dastaweez ”Vedas“ ke mutabiq gosht khana mamnoo nahi hai. –YTN STAFF