Sweden ki aik adalat ney Nobel Academy mein jinsi harasani aur asmat raizi ke scandal ke markazi kirdaar French citizen Jean-Claude Arnault ko qusoorwaar qarar dey kar 2 saal qaid ki saza sunai hai. Stockholme ki zilai adalat ke judge ney apne faisla mein kaha hai ke ”accused asmat raizi ka qusoorwaar qarar paaya gaya hai. Is ney 5th aur 6th October 2011 ki darmiyani shab is jurm ka irtikaab kiya tha. Iss ko 2 saal qaid ki saza ka hukum diya jata hai. Majrooh fareeq ke nuqsaan ka azaala kardiya gaya hai”. Stockholm ke aik cultural center ke sarbarah Jean-Claude Arnault ke khilaaf 18 aurton ney jinsi hamlon aur harasani ke ilzamaat ayed kiye thea. Yeh sahib aik Maroof saqafati shakhsiyat hain aur Sweden ki Nobel Academy se wabasta thae. Aik qanooni firm ko un sahib ke Academy par asraat ki tehqiqaat ke liye kaha gaya tha. Adalat ney un mein se aik aurat ke ilzaam par mulzim ko mujrim qarar diya hai. Mr. Claud ke khilaaf guzishta saal aurton ko jinsi tor par harasan karne aur un par jinsi hamlon ke ilzamaat manzar-e-aam par aanay ke baad Nobel inaam baraye adab ke teen judge sahibaan apne ohdon se mustafi hogaye thae. Wazeh rahay ke 18 arkaan par mushtamil Nobel Committee mein shaamil judge sahiban ka sharayet ke tahyat taqarrur kiya jata hai aur fanni taur par unhein committee ko khairbaad kehney ki ijazat nahi hoti hai. 1989 mein teen Judges ney Academy se mustafi honey ka elaan kar diya tha aur unhon ney yeh faisla Academy ki janib se Iran ke rehbar e inqilab Ayat Allah rooh Allah khmini ki muzammat mein bayan jari nah karne par kiya tha lekin Academy ney un ka istifa Manzoor nahi kiya tha. Ayatollah Ruhollah Khomeini ney tab tauheen aamaiz kitaab ” shaytani ayaat” ke musannif Salman Rushdi ke khilaaf qatal ka Fatwa jari kiya tha.