Monday, May 6, 2024
HomeJurmNizam’s Museum ke masroqa nawadiraat bar aamad' 2 mulizmeen giraftar

Nizam’s Museum ke masroqa nawadiraat bar aamad’ 2 mulizmeen giraftar

Nizam’s Museum ki naaqis security ko dekhte huwe sarqa ka mansoobah banaya gaya. Aik mulzim ne Tiffin Box ko rozana istemaal kiya. Mulzimeen ki giraftari ka sab se pehlay ‘Y This News’ ke zariye inkeshaaf.

Nizam’s

Hyderabad. Nizam’s Museum se besh baha nawadiraat ke sansani khaiz sarqa mein mulawis 2 mulzimeen ki giraftari aur maal e masroqa baraamad kar lenay ki aaj Police ney tauseeq kar di hai. Yaad rahay ke ‘Y This News’ ney hi sab se phelay mulzimeen ki giraftari ki ittila di thi. Jaria mah ki 2 tareekh ko Nizam’s Museum se Heere aur Rubi jadey 2 kg Gold Tiffin Box,Cup & Saucer aur aik Golden Spoon sarqa karliye gaye thae jin ki international market mein qeemat Crores rupay hai, un mulzimeen ke qabza se masroqa nawadiraat ko baraamad karliya gaya hai. Giraftar shudgan 2 mulzimeen ki shanakht Mohammad Ghouse Pasha urf Khooni Ghouse (23) Centering Worker Rajendranagar aur Mohammad Mubeen (24) Welding Worker saakin Rajendranagar ko Police ney peer ki shab giraftar karliya tha. Commissioner Police Hyderabad Mr. Anjani Kumar ney aaj un mulzimeen ki giraftari ki tauseeq karte huwe bataya ke dono ney jurm ke irtikaab karne se 45 din qabal Museum pahonch kar mukammal jaiza letay huwe sarqa ka mansoobah banaya tha. Un mulzimeen ney 45 din baad jurm ka iss liye irtikaab kiya ke CCTV Footage mein bhi un ka ihata na hosakay chunkay umooman CC Tv Footage Recorder ki memory aik mah baad aaz khud delete hojati hai. Yeh dono bachpan ke dost aur door ke rishtedaar hain aur sarqa ki waardat mein mulawis hain. Mulzimeen ke bayan ke mutabiq un dono ney roshan daan se andar daakhil huwe jis ki unhon ney 45 din qabal hi nishandahi karli thi. Is ka sara mansoobah Mubeen ney tayyar kiya tha jis ney 45 din qabl Visitor ke taur par Museum ka daura kiya tha aur naaqis security intezamaa ka pata chalaya. Is ney apne mansoobah ko anjaam dainay ke liye Ghouse se baat ki aur dono ney is ko anjaam dainay ka faisla karliya. Yeh dono naadir ashya ka sarqa karne mein taqreeban kamyaab hogaye. Un dono ney ventilator se neechay utarney aur oopar chadhne ke liye aik rassi par das gaanth bandhay thae. Mubeen ney oopar rah kar rassi ko thaame rakha aur Ghouse rassi ke zariye neechay uttra aur showcase ka lock tod kar is mein rakhi huwi naadir ashiya ko thaam kar rassi ke zariye hi oopar chadh gaya. Yeh logon ney Museum mein apna koi suraagh nahi choda tha albatta ventilator ke atraaf un dono nay jo nishanaat chodey thae is ki buniyaad par hi un ki shanakhat ki gayi. Un dono ney jurm ke irtikaab ke baad apne kapday tabdeel karliye aur Police ko gumraah karne ilaqa mein ghoomnay lagey. Umooman mujrimeen jurm ke irtikaab ke sath hi maqam waardaat ko fauri chod detain hain. Is ke baad un dono ney Zaheerabad simt Mutangi par Highway ka rukh kiya aur chupkay se service road se wapas aagaye taakay Highway par nasb CCTV cameras mein yeh nazar aeye ke woh shaher chod kar chalay gaye hain. Is ke baad woh bas ke zariye masruqa Golden Spoon sath Mumbai ke liye rawana huwe taakay imkani kharidaron ko bataur namoona dikha sakhen. Jab inhen achi peshkash nahi mili to woh wapas lout aeye aur achi peshkash ka intzaar karne lagey. Hyderabad Police ke aik ohdedar ney kaha ke Tiffin Box ko King Nizaam istemaal kere ya nah kere maloom nahi magar un choron mein se aik ney rozana is mein khana khaya hai. Un do mulzimeen ney mazkoorah masroqa ashya ke sath Museum mein rakhi aik muqaddas kitaab bhi churanay ka iradah kiya tha. Jab woh is kitaab ko churanay walay hi thae ke qareebi Masjid se ki maghrib ki azaan ki aawaz sunai di jis ki wajah se woh kitaab churanay se daargaye aur apna iradah tark kardiya. Police ney bataya ke aadi sarqeen ki naqal o harkat ki chhaan been ke dauran yeh pata chalne par ke Mubeen gayab hai, Police is case ko hal karpayi hai.