Sunday, May 19, 2024
HomeJurmNizam’s Museum ke masrooqa nawadiraat baraamad?

Nizam’s Museum ke masrooqa nawadiraat baraamad?

Nizam’s Museum se sarqa karliye gaye heere aur ruby jadey do kilo wazni Tiffin Box, Cup Saucer aur Golden Spoon bar aamad. sariqeen Mumbai mein girftar!

Hyderabad. Zaraye se maloom huwa hai ke Nizam’s Museum se sarqa karli gayi naadir ashya ko bar aamad karne mein Hyderabad Police kamyaab hogayi hai. Iss khusoos mein ta haal Police ne kisi qisam ki maloomat ka tabadlah nahi kya hai. Saariqon ne 2nd  September Itwaar ki shab Museum mein numayesh ke liye rakhi gayeen qeemti ashya ka sarqa karliya tha jin mein 7th Nizaam ke zair istemaal Golden Tiffin Box, Cup & Saucer aur aik Golden Spoon shaamil hain. Hyderabad Police ne masrooqa nawadiraat ko baraamad karne aur mulzimeen ko pakadney ke liye 10 khusoosi Teams tashkeel di theen. Un teamd ne mauqa waardaat ka jaiza lainay aur Museum ke mulazmeen ke talluq se maloomat ikhatta karne ke baad chand afraad ko mushtaba fehrist mein rakhtay hue un ka pata chalanay ki koshish ki thi aur un ke cell phones ki tracking shuru kar di gayi thi. Maloom huwa hai ke Police ko ibtida mein yeh ittila mili thi ke saariq Bidar mein maujood hain magar jab tak Police wahan pahonch paati woh Mumbai ke liye rawana hogaye thae. Maloom huwa hai ke theek aik hafta ke andar Police ne un saariqon ko bil-aakhir Mumbai mein daboch hi liya. Bataya jata hai ke Police ne is khusoos mein teen mulzimeen ko hirasat mein le liya hai aur unhen tayyarah ke zareya Hyderabad muntaqil bhi kardiya gaya hai. Police ne masrooqa nawadiraat ko bhi baraamad karliya hai. Yaad rahay ke yeh wardaat Itwaar ki raat mein paish aayi thi aur Nizam’s Museum ke Administrative Officer Mr. Shaukat Hussain ne Police mein yeh shikayat darj karwai thi ke jab peer ke din Museum ko khoola gaya tha to yeh paaya gaya ke aik showcase ke locks tootay hue hain aur aik Tiffin Box, aik piyali aur tashtari aur Golden Spoon gayab hain. Unhon ne bataya tha ke sarqa karne walay ventilation ke zareya andar daakhil hue aur jis gallery mein yeh nawadiraat rakhay hue thae uss ke CC TV camera ko nuqsaan pahonchaya aur aik showcase mein rakhi hui yeh ashya sarqa karli. Bataya jata hai ke Tiffin Box do kg wazni hai jis par Diamonds aur Ruby jadey hue hain. Iss Museum mein Nizaam ke zair e istemaal kayi qeemti ashya maujood hain. Aik andaza ke mutabiq iss Museum mein 700- 800 kg tak wazan ki besh baha ashya mauood hain jin ki bain ul aqwami markt mein qadar ek mehdood andaza ke mutabiq  Rs. 2,000 crore se bhi zayed hai. Yahan yeh baat qabil e zikar hai ke maazi mein bhi Asif jahs ki zair e istemaal kayi naadir ashya sarqa karli gayi theen magar un ko baraamad nahi kya jaska tha. Yeh paheli martaba hai ke Police ne androon aik hafta masroqa nawadiraat ko bar aamad karliya hai.