Hyderabad: Haliya dinoun mein shumali aur junoobi Hindustan ki kayi ahem reyaston mein taiz barish aur saelaab ki sorat-e-haal ki wajah se kayi ek aabi zakhair mein pani khatray ke nishaan se oopar bhi aachuka hai lekin Telangana ke kayi aabi zakhair mein hunuz pani ki satah tashweesh-naak had tak kam hi hai jis mein sare fehrist Nizam Sagar hai.
Telangana mein halaanke sri ram nagar Pocharam, Sangeetam, ke aabi projects mein itminan bakhash pani hai lekin Nizam Sagar Project ko matlooba pani hanoz nahi mil raha hai kyun ke iss project ko jahan 17.80 TMC pani darkaar hai wahein iss ke aabi zakhair mein 0.13 TMC hi pani mojood hai.
Nizam Sagar aur Singur project ke tehat 2. 08 laakh acre araazi ko aabi farahmi zurori hai jiske liye 17.80 TMC pani darkaar hota hai lekin Nizam Sagar mein sirf 0.13 TMC pani hi mojood hai.
Isi Tarha Singur project ke liye bhi 29. 90 TMC pani darkaar hai jabkay project ke liye ab sirf 0. 45 TMC pani hi dastyab hai.
Hukoomat ki hidaayat ke mutabiq agar Singur project ke liye 10.50 TMC pani dastyab rahega to hi Nizam Sagar ke liye pani chodha jayega lekin ab chunkay Singur project ke liye hi matlooba pani ki sarbarahi mushkil hai lehaza ab Nizam Sagar Project ke liye aabi sarbarahi nahi ki jayegi. inn halaat mein Nizamabad zila ke beshtar ilaaqon mein jo faslein tayyar honi hain inn ke liye aabi sarbarahi ek masla ban jayegi. –YTN STAFF