Hyderabad: Telangana ke mukhtalif ilaqoun mein Nizaam ke ehad ki beshtar Imaratein moujood hain jis mein sarkari school bhi qabil-e-zikar hain, lekin kayi aisay maqamat moujood hain jahan abhi bhi nizaam ehad ke schools ki Imaratein mojood hain lekin yeh Imaratein khasta haal ho chuki hain aur yeh Imaratein ab taleemi masrofiyat ki bajaye janwaron ki rehaish gaahon mein tabdeel ho chuki hain. Nizaam ehad ki aisi hi ek school imarat zaheerabad mein bhi mojood hai jo taqreeban 70 baras qabal taamer ki gayi thi lekin ab yeh khasta haal imarat khandhar mein tabdeel ho chuki hai. yeh imarat Nizaam ke ehad mein medak aur bidar ke ilaqay mein wahid school tha.
Nizaam ehad ke aakhri hukmaran Meer Osmaan Ali Khan ne 1940-42 mein yeh high school ki imarat taamer ki thi jis mein no kamray mojood hain. is daur mein aisa school sirf kohir aur Asadganj mein mojood tha aur riyasat karnatak se bhi talba is school mein taleem ke liye atay they is ke alawa school se taleem mukammal karne walay kayi Hindustan talba siyasat aur hukoomati ohdon par Faiz hue hain. Zaheerabad mein mojood yeh nizaam ehad ke school ki imarat bohat khasta haal ho chuki hai lekin is ke bawajood is mein urdu aur telugu dono medium ke 320 talba zair taleem hai jinke liye sixth taa tenth jamaat ki taleem ka intizam kiya ja raha hai lekin iske bawajood yeh khasta haal imarat kisi bhi lamha kisi nigehani haadsay ka shikaar ho sakti hai.
Is school mein asateza ke liye koi staff room, sports store aur laboratory ka bhi koi intezam nahi hai. naveen aur dasvin jamaat ke kamray intahi khasta haal hain jahan khidkion ki jagah dewaron mein badeay badeay shagaaf mojood hain. masail ki had to is waqt intehaa par pohanch jati hai jab agar shehar mein barish ho to school ko tateel hi daydi jati hai. school intizamia ke alawa muqami afraad ne bhi kayi martaba arbab majaz se mulaqaat karte hue is maslay ki taraf tavajja mabzol karwai hai lekin koi samraavar nateeja bar aamad nahi hua hai. mandal education officer Biswa raj ne kaha hai ke mutaliqa idaron ko yeh tajweez paish ki gayi hai ke khasta haal imarat ki bajaye doosri imarat faraham karte hue is tareekhi imarat ki aahak pashi ka intizam kiya jaye aur umeed ki jarahi hai ke hukoomat ki janib se misbet rad-e-amal aur jawab aayega. –YTN STAFF