Friday, October 4, 2024
HomeLatest NewsNishane baaz naman ne khud ko hi goli maarli khud kashi par...

Nishane baaz naman ne khud ko hi goli maarli khud kashi par raaz ke parde

Mohali: Qaumi sateh ka shooter naman veer singh barar subha muhali mein murda paya gaya. Police ke mutabiq veer singh ne shehar ke sector 71 mein apni rihayesh gaah par khud kashi ki veer singh ke ahle khaana ne media ko bataya ke woh nahi jaante ke woh yeh khadam Kyu utaya hain. Post martem soul hospital fees 6 mein kiya gaya. Veer singh ki badi behan doctor parbishkaman barar bhi traip shooter hain jabke unke Walid ek tajir aur walida harpreet barar ek gharulu khatoon hain. Yeh khandan 2009 mein punjab ke fareed Cout se muhali muntaqil huwa tha..veer singh jo pehle punjab university ke taalib e ilm the unho ne 2015 mein junoobi korea ke guwagjo mein world university games mein double traip team unit mein ankoor mittal aur asghar hussain khan ke saath brounce medal jeeta tha.

Isi saal usne all India university shooting championship mein brounce medal jeeta tha aur agle saal poler mein munaqida FISU world university shooting championship mein veer singh ek baar phir brounce medal jeetne wali Hindustani team ka hissa tha. Veer singh ne graduation DAV college Chandigarh se kiya. Baad mein usne punjab university camps mein 3 saala post graduate law course mein daqila liya.

Muhali shooter ne patiala mein mooti baag shooting range mein practice ki is saal ke shuroo mein veer singh ne March mein munaqida ISSF delhi world cup mein traip unit mein kam se kam qabiliyat score zumre mein liya tha jaha woh 4 number par rahe. DAV college Chandigarh ke shooting couch umender maan ne barar ki maut ko shooting bradri ke liye nuqsan qaraar diya. Naman veer ki maut ke baare mein jaan kar hairat huwi. Maan ne mazeed kaha ke woh ek roshan shooter tha aur main indian university ki team ke saath poland mein 2016 world university games mein shirkat ki thi. Jaha usne team ko brounce medal jeeta tha. Woh ek pur Josh shooter tha aur hamesha khail ke liye apna jazba zahir karta tha unki maut ke baare mein sunna bad qismati hain.