Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaNisf century bananay ke baad hyderabad mein batsman ki mout

Nisf century bananay ke baad hyderabad mein batsman ki mout

Hyderabad: Cricket ke maidan par aksar kayi hadsaat hotay rehtay hain aur khiladiyoun ki jaan chali jati hai,. Hyderabad mein bhi ek club match ke douran ek cricketer ki mout ho gayi halaanke iski wajah koi haadsa ya choth nahi thi. report ke mutabiq guzishta roz ek ODI league match ke douran 41 sala Virendra Naik ki mout hogayi.

Wo Secunderabad mein Maredpally supporting club ke khiladi they aur unhon ne mout se qabal kheilay gaye muqablay mein shandaar nisf century bhi banai lekin out honay ke baad woh pavellion lautay aur wahan unki mout hogayi. Virendra Naik Maharashtra ke sawant wari ke rehne walay they jahan unki aakhri rusoom ada ki jayegi.

Virendra Naik ki mout ka sabab dil ka dora bataya ja raha hai. virindr ke bhai avinash ne police ko bataya ke virindr seenay ki bemari ki dawa kha rahay they. Virendra ki laash post mortem ke liye bhej di gayi hai aur iske baad unki aakhri rusoom ada ki jayegi. report ke mutabiq, Naik ne apne aakhri muqablay mein 66 runs ki behtareen inning kheli thi. Naik wicket ke peechay catch out hue they.

Bataya ja raha hai ke Naik Umpire ke faislay se khush nahi they. inhen laga tha ke gaind ne unke ballay ka kinara nahi liya hai. Virendra jaisay hi pavellion pohanche unka sir deewar se takraya aur woh neechay gir gaye. uskay baad unke saathi khiladi inhen hospital le gaye jahan inhen murda qarar day diya gaya. Virendra ne Secunderabad ke Yahoda hospital mein aakhri saans li. –YTN STAFF