Monday, April 21, 2025
HomeIndiaNirmala Sitharaman Hinudstan ki doosri wazeer-e-khazana

Nirmala Sitharaman Hinudstan ki doosri wazeer-e-khazana

New Delhi : Hinudstan  ki pehli wazeer-e-kharja bannay ki tareekh raqam karne Waleen Nirmala Sitharaman ne doosri khatoon wazeer-e-khazana ban’nay ka aizaz bhi haasil karliya. unse pehlay sabiq wazeer-e-azam Indra Gandhi ne taqreeban ek saal tak wizarat-e-khazana ka kaam kaaj sanbhala tha .

wazeer-e-azam Narendra Modi ne Rajya sabha rukan Nirmala Sitharaman ko apni kabeena ki doosri miyad ke liye wazeer-e-khazana muqarar kiya hai. aisa doosri martaba hua hai jab koi khatoon wizarat-e-khazana jaisay zimmedaar wizarat ka kaam kaaj dekhengi. Modi ki pichli hukoomat mein Arun Jaitley wazeer-e-khazana they lekin kharab sahet ki wajah se unhon ne is martaba kabeena mein shaamil honay se mana kardiya tha .

Azad Hinudstan mein is se pehlay 36 wazeer-e-khazana hue hain aur Nirmala Sitharaman 38th wazeer-e-khazana ke tour par apni khidmaat anjaam dengi. Wazeer-e-khazana ke tour par sab se pehlay wazeer-e-azam jawahrlal nehru, sabiq sadar Pranab mukharji aur sabiq Wazeer-e-Azam Morarji desai aur sabiq wazeer-e-azam Manmohan Singh bhi apni khidmaat anjaam day chuke hain. –YTN STAFF