Monday, April 21, 2025
HomeIndiaNirmala Sitharaman 49 saal ke baad budget pesh karne wali doosri...

Nirmala Sitharaman 49 saal ke baad budget pesh karne wali doosri khatoon

Badli riwayt kapdey mein lapet kar layein budget

New Delhi: Nirmala sitharaman ne 49 saal ke baad budget pesh karne wali Hindustan ki doosri khatoon wazeer-e -khazana honay ka aizaz hasil kiya hai. Sitharaman ne Narendra Modi hukoomat ki doosri muddat ka pehla budget pesh Kiya . pichli hukoomat mein Arun Jaitley  wazeer-e-maalyaat the lekin unke bemaar honay aur kabeena mein shaamil honay se inkaar karne ke baais is baar Sitharaman ko wazeer-e-khazana jaisay ahem wizarat ki zimma daari saumpi gayi.

Sitharaman budget pesh karne ke liye pehli mukammal khatoon wazeer-e-khazana ban gayi. qabal azeen sabiq Wazeer-e-Azam Indra Gandhi budget pesh karne wali pehli khatoon theen lekin is waqt unke paas Wazeer-e-Azam ke ohday ke sath wazeer-e-maalyaat ka izafi ohda bhi tha. Indra Gandhi ne 28 feb 1970 ko wazeer-e-maalyaat ke tor par pehla budget pesh kiya tha. saal 2000 se pehlay aam budget feb ke aakhri karobari din mein shaam mein paanch bajey pesh Kiya  jata tha. saal 2001 mein Atal Bihari vajpayee ke Wazeer-e-Azam ke ehad ke douran budget ka waqt badal diya aur usay pehli martaba din mein 11 bajey pesh Kiya  gaya. yeh budget wazeer-e-khazana yashwant sinha ne pesh kiya tha.

Azad Hindustan ke pehlay wazeer-e-maalyaat rk shanmukham chetty 1947-49 the . sabiq Wazeer e Azam morarji desai mulk mein sab se taweel muddat tak wazeer-e-maalyaat rahay. woh sab se pehlay 1959 se 1964, phir 1967 se 1970 tak wazeer maalyaat ke ohday par rahe. iske baad woh 1977 se 1979 bhi woh is ohday par rahay. sab se ziyada budget pesh karne ka aizaz bhi sirf morarji desai ko hai. Unhon ne jumla 10 budget pesh kiye, jin mein se 8 mukammal aur 2 uboori budget the .

Mulk ki mukammal khatoon wazeer maalyaat Nirmala sitharaman ne Narendra Modi hukoomat ke doosri muddat ka pehla budget pesh karne ke douran barson qadeem rivayet ko tabdeel kardiya. wazeer khazana Lok sabha mein budget pesh karne ke liye jab apni wizarat se bahar aayi to unke haath mein  surkh rang ka brief case nahi balkay isi rang ka ashok nishaan wala makhmali kapdey ka ek Packet tha jis mein budget rakha hua tha.

Cheif iqtisadi musheer subramaniam ne brief case ki jagah surkh rang ke kapday mein budget laane ki wajah batayi aur kaha , yeh hindustani rivayet hai aur maghrib ki ghulami se niklne ki ek alamat hai. yeh budget nahi bahi khatah hai. azad Hindustan ka pehla aam budget 26 November 1947 ko is waqt ke wazeer maalyaat rk shanmukham chetty ne pesh kiya tha. is waqt budget ko chamday ke bag mein rakh kar laya gaya tha. –YTN STAFF