Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaNirbhya ke mujrimoun ko phansi dena Hindustan ki jeet

Nirbhya ke mujrimoun ko phansi dena Hindustan ki jeet

New Delhi: Nirbhaya muqadma ke charoun mujrimeen ko 7 saal ke taweel intzaar ke baad phansi day di gayi hai jis ke baad is siyah baab ka ekhtataam huva hai. Pawan Gupta, Vinay Sharma, Mukesh Singh aur Akshay Kumar Singh ko jummay ki subah 5.30 bajey Tihar Jail mein phansi day di gayi. Ab un ka Postmortem kiya jaye ga. Mujrimoun ki phansi ko talne ki tamam koshishen nakaam ho gayen. Delhi High Court ke baad, Supreme Court ne bhi jumaraat aur Jummay ki aadhi raat ko Nirbhaya mujremoun ko phansi dainay ke khilaaf darkhwast ko mustard kardiya, Jis ke baad ab Nirbhaya ke charoun mujrimoun ko phansi day di gayi.

Mujrimeen ki aakhri raat ka manzar
Zaraye ke mutabiq wo subah 3 bajey beedar huve. Agarchay ye kaha ja raha hai ke ye charoun ko raat bhar poori neend nahi aaski. Inhen subah 4:30 bajey chaaye pesh ki gayi lekin un sab ne chaye penay se inkaar kardiya. Unhoun ne nashta khanay se bhi inkar kardiya. Is ke baad jallad ne charoun par siyah kapda dala. Is douran tamam mujrimeen ke haath peechay ki taraf bandhay huve they. Is douran 2 mujrimoun ne bhi apne haath bandhnay se inkaar kardiya lekin baad mein un ke haath police ohdedaroun ki madad se bandh diye gaye.

Phansi se pehlay mujrimeen ne mangi maffi

Phansi ke liye muqarrar kardah jagah par pahunchaty hi charoun mujrimeen zameen par gir pade. Wo ronay lagey aur maffi mangnay ki batian karne lagey. Bad men inhen Jail ke ohdedaroun ki madad se agay badhaya gaya. Is ke baad phansi dainay walay ne mohtaat andaaz mein charoun mujrimoun ke galay mein rassi ki girah mazboot kar di. Jail Superintendent ne ishara karte hi jallad ne jigar kheanch diya. 2 ghantay baad Dr ne un charoun ko murda qarar day diya. Supreme Court ki hidaayat nama ke mutabiq, Latkanay ke baad laash ka Postmortem zurori hai. Is ke baad ye idaara tay karta hai ke Jail Superintendent ko ahal khanah ke hawalay kiya jaye ga ya nahi. Agar Jail Superintendent ko lagta hai ke mujrim ki laash ka ghalat istemaal ho sakta hai, To wo lawahiqeen ko laash dainay se inkaar karsaktha hai.

Hindustan ki baityoun ko insaaf mila
Solicitor General Tushar Mehta ne Nirbhaya muamlay mein adliya ki janib se kal raat mujrimoun ko phansi dainay ke faislay ko barqarar rakhnay aur aaj subah tay waqt par inhen phansi diye janay par kaha ke mulk ki baityoun ko insaaf mila.

Markazi hukoomat ke dosray sab se baday qanoon ohdedar, Mehta ne aadhi raat ko Delhi High Court aur Supreme Court ke ki janib se mujrimoun ki darkhwastoun ko kharij karne aur un gunah gaaroun ko phansi dainay par aakhri mohar laganay ke faislay ki tareef ki. Unhoun ne kaha, Hamaray adalti nizaam aur Executive ne mulk ki tamam baitioun ke liye insaaf ko yakeeni banaya hai. Ye ek mazboot misaal saabit hogi. Qaumi khatoon Commission Rikha Sharma ne kaha ab insaaf ki farahmi ke baad Nirbhaya ki rooh ko sukoon mil jayega. Unhoun ne mazeed kaha ke is muqadma ne nizaam qanoon ki kayi khamioun ki ujagar kar diya hai.

Nirbhaya ke qosorwaroun ko phansi mulk ki jeet: Swati Maliwal 
Delhi khawateen Commission ki sadar Swati Maliwal ne Nirbhaya ke qosorwaroun ko di gayi phansi ko insaaf aur mulk ki kamyabi qarar daitay huve kaha ke 7 saal ke taweel intezaar ke baad aaj insaaf ki jeet huvi. Maliwal ne phansi ke baad Twit karkay kaha, 7 saal ke taweel intezaar ke baad aaj insaaf ki jeet huvi. Nirbhaya ki maa ne insaaf ke liye Dar Dar thokrain khayen. Sara mukl sadkoun par utra, Bhook hadtaal kee, Lathi khayen.

Unhoun ne kaha, Ye saaray mulk ki jeet hai. Ab hamein mulk mein ek sakht nizaam banana hai. Yaqeen hai ke tabdeeli aeye gi, Zaroor aeye gi. Satiya me jeetay. Wazeh rahay ke Swati Maliwal Nirbhaya esmatraizi muamlay ke mujrimoun ko phansi ki saza ke mutalbe ke silsilay mein kayi martaba ehtijaj kar chuki hain. –YTN STAFF