Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaNirbhaya muqadma, vinay sharma ki darkhwast par jumme ko Supreme court ka...

Nirbhaya muqadma, vinay sharma ki darkhwast par jumme ko Supreme court ka faisla

New Delhi: Supreme court ney mulk ko dhula denay walay Nirbhaya ijtimai ismat raizi aur qatal muqadma ke mujrimoun mein vinay sharma ki sadar ki janib se kharij reham ki darkhwast ko challenge karne wali darkhwast par apna faisla jumaraat ko mehfooz rakh liya.

Justice R Bhanumati , Justice ashok bhushan aur Justice AS bopna ki khusoosi bench ney vinay sharma ke wakeel AP singh aur markazi hukoomat ki janib se paish solicitor general tushar mehta ke dalail suneney ke baad faisla mehfooz rakh liya.

Adalat ney is par faisla sunanay ke liye jummay ko dopehar 2 bajey ka waqt muqarrar kya. is se pehlay singh ney Daleel di ke vinay sharmaa ki dimaghi haalat theek nahi hai. unhon ney kaha ke unke moakil ko mutaliqa dastawizaat faraham nahi karwaya gaya tha. sath hi yeh bhi kaha ke lieutenant governor aur Delhi hukoomat ke wazeer e dakhla ney reham ki darkhwast mustard karne ke sifarshi khat par dastakhat nahi kiye hain.

Mehta ney un ke dalail ko mustard karte hue kaha ke tamam zawabit par amal kya gaya hai. kal is muamlay mein adalat Uzma apna faisla sunayegi. vinay ney adalat se darkhwast ki hai ke woh sadar ke faislay ka jaiza le. Vinay ney apni darkhwast mein kaha hai ke is ki reham ki darkhwast sadar ney jald baazi mein mustard ki hai. Ghhor-e-talab hai ke sadar Ram nath kovind ney 1st feb ko vinay sharma ki reham ki darkhwast ko mustard kar diya tha.

Dar-ul-hukoomat nai Delhi ke junoobi Delhi mein Nirbhaya ke sath 16 decemeber 2012 ko chalti bus mein ijtimai aabro rezi ki gayi thi aur usay sadak par pheink diya gaya tha. baad mein usay singapore ke malka elizebath hospital aer lift karkay le jaya gaya. wahan is ki mout ho gayi thi. is muqadma mein 6 mulzimon ko girftar kiya gaya tha, jin mein ek na baligh tha, jisay teen saal ke liye islaah ghar bheja gaya tha. Ek mulzim ram singh ney tihar jail mein khud kushi kar li thi. 4 deegar mulzimaan mukesh, akshay, vinay aur pawan ko phansi ki saza sunayi gayi hai. –YTN STAFF