Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaNirbhaya muqadama, Vinay ki arzi mustard

Nirbhaya muqadama, Vinay ki arzi mustard

New Delhi: Supreme Court ne mulk ko dhula dainay walay Nirbhaya ijtimai aabrorizi aur qatal muamlay ke qasoorwar Vinay Sharma ki sadar jamhooria ke zareya reham ki arzi ko kharij kiye jaane ko challenge dainay wali arzi jummay ko kharij kar di. Justice R Banumathi, Justice Ashok Bhoshan aur justice A. S. Bopanna ki khusoosi bench ne kaha ke Vinay ki arzi mein koi dam nazar nahi aareha hai. Justice Banumathi ne bench ki janib se faisla sunaate huve wazeh kiya ke arzi guzaroun ka ye kehna ke reham ki arzi kharij kiye jaane ke liye ki gayi sifarish par Delhi ke Lieutenant Governor aur riyasat ke wazeer e dakhla ke dastakhat nahi huve hain, Ghalat hai.

Supreme Court ne Vinay ki is daleel ko bhi kharij kardiya ke is ki zehni haalat theek nahi hai. Vinay ke wakeel A.P Singh ne samaat ke douran naya harba chala tha. Unhoun ne kaha tha ke un ke mokil ki zehni haalat thek nahi hai. Bench ne 30 January ki ek medical report ke hawalay se kaha ke arzi guzaroun ki zehni haalat kharab honay ki daleel manzoor kiye jaane ke qabil nahi hai.

Justice Banumathi ne kaha ke sadar ke zareya reham ki arzi kharij kiye jaane mein kisi qisam ki koi qanooni la parwahi nahi barti gayi. Adalat ne Vinay Sharma ke wakeel A.P Singh aur markazi hukoomat ki janib se pesh Solicitor General Tushar Mehta ki daleelen sunnay ke baad jumaraat ko faisla mehfooz rakh liya tha. Singh ne daleel di thi ke Vinay Sharma ki zehni haalat theek nahi hai. Unhoun ne kaha ke un ke moakil ko mutaliqa dastaweez muhayya nahi karwaya gaya tha. Sath hi ye bhi kaha ke Lieutenant Governor aur Delhi hukoomat ke wazeer e dakhla ne reham ki arzi kharij karne ke sefarishi khat par dastakhat nahi kiye hain. –YTN STAFF