Sunday, May 5, 2024
HomeJurmNirbhaya ki maa Asha devi ab dosray mutasireen ko insaaf dilwayengi

Nirbhaya ki maa Asha devi ab dosray mutasireen ko insaaf dilwayengi

New Delhi: Ek afsoosnaak waqea jisne Hindustan ko ek bohrani soorat-e-haal mein daal diya tha aur 8 saal baad jisne zindagi ka andaaz hi badal diya halaanke is waqea ke nateejay mein unki beti is duniya se chali gayi aur iske mujrimon ko saza bhi mil gayi lekin is taweel arsa ke baad bhi Nirbhaya ki walida asha devi ne beheemana aur jinsi zayad-ti ka nishana ban’nay walay afraad ko insaaf dilanay ke liye ladnay ka azm zahir kiya hai.

Nirbhaya ki walida asha devi ne kaha insaaf ke liye meri jung meri beti ke mujrimon ko phansi dainay se khatam nahi hui hai aur ismat raizi ke deegar mutasireen ko bhi insaaf milta rahay iske liye meri jad-o-jehad jari rahaygi.

8 saal qabal 16 aur 17 Decemeber 2012 ki darmiyani raat ko ek 23 sala Nirbhaya ke naam se jana jane laga jo ek niddar the usay 6 afraad ne junoobi Dehli mein chalti bus mein Ismat raizi ka nishana banaya aur be-dardi se hamla kiya. Shadeed zakhmi haalat mein usay sadak par pheink diya. iski Ismat raizi mein eke k na baligh shakhs bhi shaamil tha. Kuch din baad singapore ke ek dawakhana mein iski mout hogayi jahan iski zindagi bachanay ke ilaaj ke liye muntaqil kardiya gaya.

Rawan saal 20 March ko 6 mein se 4 mulzimoun ko mujrim qarar day kar phansi par chadhaya diya gaya tha. Un mein se ek ram singh ne is muamlay mein muqadmay ki samaat shuru honay ke baad Tihar jail mein mubayyana tor par khudkushi karli thi aur doosra na baligh 2015 mein ek islahi ghar mein 3 saal guzaarne ke baad raha kiya gaya tha.

Asha devi ne kaha shayad meri beti ko insaaf mil gaya hai lekin Ismat raizi ke deegar waqeat hamein rozana halaak kar rahay hain. unhon ne mazeed kaha ke meri beti ko insaaf milnay mein 8 saal lagey, zara tasawwur karen ke un mutasireen ke sath kiya hota hoga jahan muqadmaat ko ujagar nahi kiya jata ya unke paas kaafi saboot nahi hotay hain. Meri ladai un mutasirah afraad ke liye jari rahaygi. Asha devi ka ishara nirbhaya ke waqea ki taraf tha jahan mulk bhar mein hazaron afraad ki janib se zabardast ehtijaj kiya gaya tha aur saboot honay ke bawajood is muqadma ka faisla 8 saal baad sunaya gaya tha.

Devi ne kaha ke poori qoum ne unki beti ke muamlay ki himayat ki hai jiske bawajood mulzimon ko insani haqooq ke naam par bohat taweel arsay tak saza nahi mili thi. unhon ne kaha mein ehad karti hon ke Ismat raizi ke mutasireen ko jald insaaf ki farahmi ke liye jad-o-jehad jari rakhongi.