Monday, May 20, 2024
HomeIndiaNirbhaya ijtimai esmatdari ke 4 mujrimoun ko 22 January ko phansi di...

Nirbhaya ijtimai esmatdari ke 4 mujrimoun ko 22 January ko phansi di jayegi

Hyderabad: Dehli ki Patiala House court mein mangal ko Nirbhaya  ijtimai esmatdari aur qatal case ki samaat hui aur faisla sunaya gaya. Un 4 mujrimoun ke khilaaf death warrant jari kiya. Death warrant jari karte hue additional session judge Satish Kumar Arora ne 22 January ki subah saat bajey mujrimoun ko Tihar jail mein phansi dainay ki hidaayat ki.

Is muamlay mein Mukesh, Vinay Sharma, Mukesh Singh  aur Pawan Gupta ko phansi di jani hai. Doosri taraf, Nirbhaya  ki walida ne mujrimoun ko sazae mout dainay ka hukum sunanay ke baad kaha ”Ye hukum, Qanoon se khawateen ka aetmaad bahaal kerega. Is se qabal, Nirbhaya  ki walida ki darkhwast par samaat adalat mein hui. unhoun ne mutalba kiya ke tamam mujrimoun ke khilaaf death warrant jari kiya jaye.

16 decemeber 2012 ku chalti Bus mein ek 23 sala medical Taliba ke sat 6 logoun ne ijtimai esmatdari ki thi aur usay tashadud ka nishana banaya gaya, Aur taliba ko marnay ke liye sadak par pheink diya gaya tha. Ilaaj ke douran kuch dinoun baad is ki mout waqay ho gayi thi.

Is waqea mein mulawis 6 mulzemoun ko giraftar kiya gaya aur unhoun jinsi tor par harasan karne aur qatal karne ke ilzaam aed kiya ya. Un mein se ek mulzim na baligh tha, Jo insaaf ke liye adalat mein pesh huva tha, Jabkay ek aur mulzim ne Tihar jail mein khud kashi kar li thi.

Is ke baad 4 mujrimoun ko 13 September 2013 mein trial court ne sazae mout sunai thi, Aur 13 March 2014 mein Dehli high court ne is ki tasdeeq ki thi aur May 2017 mein Supreme court ne is ki toseeq ki thi, Jis ne un ki nazar sani ki darkhwast ko bhi mustard kar diya tha. –YTN STAFF